SEARCH RESULTS
Showing search results for "मज़ारों"
Sher MATCHES FOR "मज़ारों"
Sher
muflis ke badan ko bhii hai chaadar kii zaruurat
ab khul ke mazaaro.n pe ye elaan kiyaa jaa.e
Qateel Shifai
Sher
armaa.n tamaam umr ke siine me.n dafn hai.n
ham chalte phirte log mazaaro.n se kam nahii.n
Unknown
Sher
KHudaa daraaz kare umr charKH-e-niilii kii
ye bekaso.n ke mazaaro.n kaa shaamiyaana hai
Haidar Ali Aatish
Sher
Ijtiba Rizvi
Sher
pyaaso raho na dasht me.n baarish ke muntazir
maaro zamii.n pe paa.nv ki paanii nikal pa.De
Iqbal Sajid
Sher
jo log maut ko zaalim qaraar dete hai.n
KHudaa milaa.e unhe.n zindagii ke maaro.n se
Nazeer Siddiqui
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Muneer Niyazi
Sher
niind bhii jaagtii rahii puure hu.e na KHvaab bhii
sub.h hu.ii zamiin par raat Dhalii mazaar me.n
Adil Mansuri
Sher
ham ishq ke maaro.n kaa itnaa hii fasaanaa hai
rone ko nahii.n ko.ii ha.nsne ko zamaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
aa.e.n hai.n vo mazaar pe ghuu.nghaT utaar ke
mujh se nasiib achchhe hai mere mazaar ke
Qamar Jalalvi
Sher
yuu.n terii rahguzar se diivaana-vaar guzre
kaa.ndhe pe apne rakh ke apnaa mazaar guzre
Meena Kumari Naz
Sher
mai-KHaane me.n mazaar hamaaraa agar banaa
duniyaa yahii kahegii ki jannat me.n ghar banaa
Riyaz Khairabadi
Sher
kyaa mujh se bhii aziiz hai tum ko diye kii lau
phir to meraa mazaar bane aur diyaa jale