SEARCH RESULTS
Showing search results for "मसरूर"
Sher MATCHES FOR "मसरूर"
Sher
ham ko kis ke Gam ne maaraa ye kahaanii phir sahii
kis ne to.Daa dil hamaaraa ye kahaanii phir sahii
Masroor Anwar
Sher
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
bhii.D ke KHauf se phir ghar kii taraf lauT aayaa
ghar se jab shahr me.n tanhaa.ii ke Dar se niklaa
Aleem Masroor
Sher
dil ke luTne kaa sabab puuchho na sab ke saamne
naam aa.egaa tumhaaraa ye kahaanii phir sahii
Masroor Anwar
Sher
iid par masruur hai.n dono.n miyaa.n biivii bahut
ik KHariidaarii se pahle ik KHariidaarii ke ba.ad
Sarfaraz Shahid
Sher
jaane kyaa mahfil-e-parvaana me.n dekhaa us ne
phir zabaa.n khul na sakii sham.a jo KHaamosh hu.ii
Aleem Masroor
Sher
ai yaad-e-yaar dekh ki baa-vasf-e-ranj-e-hijr
masruur hai.n tirii KHalish-e-naa-tavaa.n se ham
Hasrat Mohani
Sher
kyuu.n ham ko sunaate ho jahannam ke fasaane
is daur me.n jiine kii sazaa kam to nahii.n hai
Masroor Jalandhari
Sher
ik umr kii mehnat kaa ye phal paa.e.nge ham log
miTTii kii ridaa o.Dh ke so jaa.e.nge ham log
Masroor Jalandhari
Sher
hamaarii aa.nkho.n me.n be-vaj.h aa ga.e aa.nsuu
yaqiin kiije kisii baat par nahii.n aa.e
Masroor Jalandhari
Sher
shaayad aa jaa.e kisii vaqt lab-e-baam vo chaa.nd
shaam se subah talak band dariicha na kiyaa
Masroor Jalandhari
Sher
uTh ke us bazm se aa jaanaa kuchh aasaan na thaa
ek diivaar se niklaa huu.n jo dar se niklaa
Aleem Masroor
Sher
masruur-o-mutma.in hai.n bahut taajiraan-e-vaqt
kyaa zindagii ke KHvaab bhii niilaam ho ga.e
Azmat Abdul Qayyum Khan
Sher
masruur ho rahe hai.n Gam-e-aashiqii se ham
kyuu.n ta.ng ho.nge kashmakash-e-zindagii se ham
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
Sher
nikle tirii mahfil se to saath na thaa ko.ii
shaayad mirii rusvaa.ii kuchh duur chalii hogii
Aleem Masroor
Sher
zamaane ko duu.n kyaa ki daaman me.n mere
faqat chand aa.nsuu hai.n vo bhii kisii ke
Aleem Masroor
Sher
kuchh Gam firaaq kaa hai na kuchh vasl kii KHushii
huu.n us ke zauq-o-shauq me.n masruur raat din