SEARCH RESULTS
Showing search results for "मामा"
Sher MATCHES FOR "मामा"
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
KHudaa kii itnii ba.Dii kaa.enaat me.n mai.n ne
bas ek shaKHs ko maa.ngaa mujhe vahii na milaa
Bashir Badr
Sher
ham ne maanaa ki taGaaful na karoge lekin
KHaak ho jaa.e.nge ham tum ko KHabar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
hazaar baar jo maa.ngaa karo to kyaa haasil
du.aa vahii hai jo dil se kabhii nikaltii hai
Dagh Dehlvi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
patthar to hazaaro.n ne maare the mujhe lekin
jo dil pe lagaa aa kar ik dost ne maaraa hai
Sohail Azeemabadi
Sher
Ahmad Salman
Sher
maa.ngaa kare.nge ab se du.aa hijr-e-yaar kii
aaKHir to dushmanii hai asar ko du.aa ke saath
Momin Khan Momin
Sher
maanaa ki is zamii.n ko na gulzaar kar sake
kuchh KHaar kam to kar ga.e guzre jidhar se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
Azhar Faragh
Sher
ye samajh ke maanaa hai sach tumhaarii baato.n ko
itne KHuub-suurat lab jhuuT kaise bole.nge
Shahzad Ahmad
Sher
ye kis ne ham se lahuu kaa KHiraaj phir maa.ngaa
abhii to so.e the maqtal ko surKH-ruu kar ke