SEARCH RESULTS
Showing search results for "माहताब"
Sher MATCHES FOR "माहताब"
Sher
'Gaalib' chhuTii sharaab par ab bhii kabhii kabhii
piitaa huu.n roz-e-abr o shab-e-maahtaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
vo chaa.ndnii me.n phirte hai.n ghar ghar ye shor hai
niklaa hai aaftaab shab-e-maahtaab me.n
Jaleel Manikpuri
Sher
tamaam-shahr me.n kis tarah chaa.ndnii phailii
ki maahtaab to kal raat mere ghar me.n thaa
Azhar Inayati
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
subuu me.n aks-e-ruKH-e-maahtaab dekhte hai.n
sharaab piite nahii.n ham sharaab dekhte hai.n
Arif Imam
Sher
ye kis hisaab se kii tuu ne raushnii taqsiim
sitaare mujh ko mile maahtaab us kaa thaa
Wazir Agha
Sher
saaqii nazar na aa.e to gardan jhukaa ke dekh
shiishe me.n maahtaab hai sach boltaa huu.n mai.n
Unknown
Sher
jis husn kii hai chashm-e-tamannaa ko justujuu
vo aaftaab me.n hai na hai maahtaab me.n
Asar Sahbai
Sher
aise me.n vo ho.n baaG ho saaqii ho ai 'qamar'
lag jaa.e.n chaar chaa.nd shab-e-maahtaab me.n
Qamar Jalalvi
Sher
na zikr gul kaa kahii.n hai na maahtaab kaa hai
tamaam shahr me.n charchaa tire shabaab kaa hai
Sada Ambalvi
Sher
kisii ke haath me.n jaam-e-sharaab aayaa hai
ki maahtaab tah-e-aaftaab aayaa hai
Ghulam Rabbani Taban
Sher
aqeel nomani
Sher
jo din ko niklo to KHurshiid gird-e-sar ghuume
chalo jo shab ko to qadmo.n pe maahtaab gire
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
Rind Lakhnavi
Sher
ubhar rahe hai.n ka.ii haath shab ke parde se
ko.ii sitaara liye ko.ii maahtaab liye
Nazeer Qaisar
Sher
teraa hii raqs silsila-e-aks-e-KHvaab hai
is ashk-e-niim-shab se shab-e-maahtaab tak
Azhar Naqvi
Sher
shaamil na hote husn ke jalve agar 'kamaal'
hotaa kahaa.n ye nuur shab-e-maahtaab me.n
Zahida Kamal
Sher
sharaab o saaqii-e-mah-ruu jo saath ho.n 'bedaar'
to KHush-numaa hai shab-e-maahtaab me.n dariyaa