SEARCH RESULTS
Showing search results for "मुक़द्दस"
Sher MATCHES FOR "मुक़द्दस"
Sher
Hasan Naim
Sher
terii yaade.n ho ga.ii.n jaise muqaddas aayate.n
chain aataa hii nahii.n dil ko tilaavat ke baGair
Faheem Jogapuri
Sher
ek muddat se tirii yaad bhii aa.ii na hame.n
aur ham bhuul ga.e ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
kitaab-e-zindagii kii ye muqaddas aayate.n hai.n
hiran chiital chikaare titliyaa.n jugnuu parinde
Zafar Khan Niyazi
Sher
Munawwar Rana
Sher
vo maqaamaat-e-muqaddas vo tire gumbad o qaus
aur miraa aise nishaanaat kaa zaa.er honaa
Zafar Iqbal
Sher
chiiKHte chiiKHte chup ho ga.ii.n nannhii ruuhe.n
har muqaddas dar-o-diivaar pe laa'nat bhejo
Ahmad Sageer
Sher
koshish bhii kar umiid bhii rakh raasta bhii chun
phir is ke baa'd tho.Daa muqaddar talaash kar
Nida Fazli
Sher
ek muddat se mirii maa.n nahii.n so.ii 'taabish'
mai.n ne ik baar kahaa thaa mujhe Dar lagtaa hai
Abbas Tabish
Sher
milne kii tarah mujh se vo pal bhar nahii.n miltaa
dil us se milaa jis se muqaddar nahii.n miltaa
Naseer Turabi
Sher
muddat ke baa'd aaj use dekh kar 'muniir'
ik baar dil to dha.Dkaa magar phir sambhal gayaa
Muneer Niyazi
Sher
muddat hu.ii ik shaKHs ne dil to.D diyaa thaa
is vaaste apno.n se mohabbat nahii.n karte
Saqi Faruqi
Sher
aaKHir du.aa kare.n bhii to kis mudda.aa ke saath
kaise zamii.n kii baat kahe.n aasmaa.n se ham
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
muddat ke baa'd us ne jo kii lutf kii nigaah
jii KHush to ho gayaa magar aa.nsuu nikal pa.De