SEARCH RESULTS
Showing search results for "मोठ"
Sher MATCHES FOR "मोठ"
Sher
vo afsaana jise anjaam tak laanaa na ho mumkin
use ik KHuub-suurat mo.D de kar chho.Dnaa achchhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
patthar mujhe kahtaa hai miraa chaahne vaalaa
mai.n mom huu.n us ne mujhe chhuu kar nahii.n dekhaa
Bashir Badr
Sher
Bashir Badr
Sher
safar me.n aise ka.ii marhale bhii aate hai.n
har ek mo.D pe kuchh log chhuuT jaate hai.n
Aabid Adeeb
Sher
Amjad Islam Amjad
Sher
dekhoge to har mo.D pe mil jaa.e.ngii laashe.n
Dhuu.nDoge to is shahr me.n qaatil na milegaa
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
duniyaa me.n vahii shaKHs hai taaziim ke qaabil
jis shaKHs ne haalaat kaa ruKH mo.D diyaa ho
Unknown
Sher
Bashir Badr
Sher
'baanii' zaraa sambhal ke mohabbat kaa mo.D kaaT
ik haadsa bhii taak me.n hogaa yahii.n kahii.n
Rajinder Manchanda Bani
Sher
us ne aavaara-mizaajii ko nayaa mo.D diyaa
paa-ba-zanjiir kiyaa aur mujhe chho.D diyaa
Javed Saba
Sher
Athar Nafees
Sher
Ummeed Fazli
Sher
galii ke mo.D se ghar tak a.ndheraa kyuu.n hai 'nizaam'
charaaG yaad kaa us ne bujhaa diyaa hogaa
Sheen Kaaf Nizam
Sher
bas ek mo.D mirii zindagii me.n aayaa thaa
phir is ke baa'd ulajhtii ga.ii kahaanii merii
Abbas Tabish
Sher
KHizaa.n kii rut hai janam-din hai aur dhu.aa.n aur phuul
havaa bikher ga.ii mom-battiyaa.n aur phuul
Sabir Zafar
Sher
zindagii ke vo kisii mo.D pe gaahe gaahe
mil to jaate hai.n mulaaqaat kahaa.n hotii hai