SEARCH RESULTS
Showing search results for "मौजूदगी"
Sher MATCHES FOR "मौजूदगी"
Sher
ik yaad kii maujuudgii sah bhii nahii.n sakte
ye baat kisii aur se kah bhii nahii.n sakte
Saqi Faruqi
Sher
ek naa-maujuudgii rah jaa.egii chaaro.n taraf
rafta rafta is qadar sunsaan kar degaa mujhe
Zafar Iqbal
Sher
Madan Mohan Danish
Sher
mujh me.n KHud merii adam-maujuudgii shaamil rahii
varna is maahaul me.n jiinaa ba.Daa dushvaar thaa
Ateequllah
Sher
maujuudgi-e-jannat-o-dozaKH se hai ayaa.n
rahmat hai ek bahr magar be-karaa.n nahii.n
Makhmoor Jalandhari
Sher
tuu agar paas nahii.n hai kahii.n maujuud to hai
tere hone se ba.De kaam hamaare nikle
Ahmad Mushtaq
Sher
hazaar chehre hai.n maujuud aadmii Gaa.eb
ye kis KHaraabe me.n duniyaa ne laa ke chho.D diyaa
Shahzad Ahmad
Sher
Munawwar Rana
Sher
mai.n to thaa maujuud kitaab ke lafzo.n me.n
vo hii shaayad mujh ko pa.Dhnaa bhuul gayaa
Krishna Kumar Toor
Sher
Bhartendu Harishchandra
Sher
kyuu.n girafta-dil nazar aatii hai ai shaam-e-firaaq
ham jo tere naaz uThaane ke liye maujuud hai.n
Sarvat Husain
Sher
us kii album me.n to tasviir mirii hai maujuud
us ne tasviir ko siine se lagaayaa na kabhii
Javed Jamil
Sher
ham aap hii ko apnaa maqsuud jaante hai.n
apne sivaa.e kis ko maujuud jaante hai.n