SEARCH RESULTS
Showing search results for "मौलाना"
Sher MATCHES FOR "मौलाना"
Sher
saarii duniyaa ye samajhtii hai ki saudaa.ii hai
ab miraa hosh me.n aanaa tirii rusvaa.ii hai
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
qatl-e-husain asl me.n marg-e-yaziid hai
islaam zinda hotaa hai har karbalaa ke ba.ad
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
tauhiid to ye hai ki KHudaa hashr me.n kah de
ye banda zamaane se KHafaa mere liye hai
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
na namaaz aatii hai mujh ko na vazuu aataa hai
sajda kar letaa huu.n jab saamne tuu aataa hai
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
daur-e-hayaat aa.egaa qaatil qazaa ke ba.ad
hai ibtidaa hamaarii tirii intihaa ke ba.ad
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
shikva sayyaad kaa bejaa hai qafas me.n bulbul
yaa.n tujhe aap tiraa tarz-e-fuGaa.n laayaa hai
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
tujh se kyaa sub.h talak saath nibhegaa ai umr
shab-e-furqat kii jo gha.Diyo.n kaa guzarnaa hai yahii
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
har siina aah hai tire paikaa.n kaa muntazir
ho intiKHaab ai nigah-e-yaar dekh kar
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
Sarfaraz Shahid
Sher
tum takalluf ko bhii iKHlaas samajhte ho 'faraaz'
dost hotaa nahii.n har haath milaane vaalaa
Ahmad Faraz
Sher
milnaa thaa ittifaaq bichha.Dnaa nasiib thaa
vo utnii duur ho gayaa jitnaa qariib thaa
Anjum Rehbar
Sher
dil paagal hai roz na.ii naadaanii kartaa hai
aag me.n aag milaataa hai phir paanii kartaa hai
Iftikhar Arif
Sher
ham ne maanaa ki taGaaful na karoge lekin
KHaak ho jaa.e.nge ham tum ko KHabar hote tak