SEARCH RESULTS
Showing search results for "यासीन"
Sher MATCHES FOR "यासीन"
Sher
mumkin hai ashk ban ke rahuu.n chashm-e-yaar me.n
mumkin hai bhuul jaa.e Gam-e-rozgaar me.n
Yaseen Zameer
Sher
zanjiir zulf-e-siyaah samundar nigaah-e-shoKH
jaa.uu.n kahaa.n faraar kaa rasta ko.ii to ho
Yaseen Zameer
Sher
har aa.nkh ik savaal tahii-dast ke liye
kab tak maruu.ngaa mere KHudaa baar baar mai.n
Yaseen Zameer
Sher
kuchh vaqt apne saath guzaaruu.ngaa mai.n 'zamiir'
KHud se agar milaa jo kabhii kuu-e-yaar me.n
Yaseen Zameer
Sher
kis se karuu.n mai.n apnii tabaahii kaa ab gila
KHud hii kamaa.n-ba-dast huu.n KHud hii shikaar mai.n
Yaseen Zameer
Sher
Dhuu.nDh ham un ko pareshaan bane baiThe hai.n
vo to parda liye insaan bane baiThe hai.n
Yasin Ali Khan Markaz
Sher
ham apne aap taalib matluub aap ham hai.n
is khel me.n hamesha ham KHud ko haarte hai.n
Yasin Ali Khan Markaz
Sher
muddat hu.ii hai dast-o-garebaa.n hu.e hame.n
ummiid naa-umiidii KHudaa rozgaar me.n
Yaseen Zameer
Sher
bande kaa parda shaan-e-ilaahii chhupii hu.ii
KHud ko to chho.D KHaak u.Daayaa to kyaa hu.aa
Yasin Ali Khan Markaz
Sher
ek diivaar uThaa.ii thii ba.Dii ujlat me.n
vahii diivaar giraane me.n bahut der lagii
Yasmeen Hameed
Sher
jis samt kii havaa hai usii samt chal pa.De.n
jab kuchh na ho sakaa to yahii faisla kiyaa
Yasmeen Hameed
Sher
musalsal ek hii tasviir chashm-e-tar me.n rahii
charaaG bujh bhii gayaa raushnii safar me.n rahii
Yasmeen Hameed
Sher
Yasmeen Habeeb
Sher
apnii nigaah par bhii karuu.n e'tibaar kyaa
kis maan par kahuu.n vo miraa intiKHaab thaa
Yasmeen Hameed
Sher
parda aa.nkho.n se haTaane me.n bahut der lagii
hame.n duniyaa nazar aane me.n bahut der lagii
Yasmeen Hameed
Sher
Yasmeen Habeeb
Sher
KHushii ke daur to mehmaa.n the aate jaate rahe
udaasii thii ki hamesha hamaare ghar me.n rahii
Yasmeen Hameed
Sher
hame.n KHabar thii bachaane kaa us me.n yaaraa nahii.n
so ham bhii Duub ga.e aur use pukaaraa nahii.n