SEARCH RESULTS
Showing search results for "रंजिशों"
Sher MATCHES FOR "रंजिशों"
Sher
duuriyaa.n simaTne me.n der kuchh to lagtii hai
ranjisho.n ke miTne me.n der kuchh to lagtii hai
Amjad Islam Amjad
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
Naseer Turabi
Sher
umr bhar milne nahii.n detii hai.n ab to ranjishe.n
vaqt ham se ruuTh jaane kii adaa tak le gayaa
Fasih Akmal
Sher
ab ke baar mil ke yuu.n saal-e-nau manaae.nge
ranjishe.n bhulaa kar ham nafrate.n miTaa.e.nge
Unknown
Sher
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
mehrbaanii ko mohabbat nahii.n kahte ai dost
aah ab mujh se tirii ranjish-e-bejaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
hame.n qariina-e-ranjish kahaa.n mayassar hai
ham apne bas me.n jo hote tiraa gilaa karte
Anwar Masood
Sher
vahshat kaa ye aalam ki pas-e-chaak garebaa.n
ranjish hai bahaaro.n se ulajhte hai.n KHizaa.n se
Javed Saba
Sher
ye ranjish me.n ham ko hai be-iKHtiyaarii
tujhe terii khaa kar qasam dekhte hai.n
Mohammad Rafi Sauda
Sher
vaqt guzar jaataa hai lekin dil kii ranjish
dil me.n baiThii kii baiThii hii rah jaatii hai
Khaavar Jilani
Sher
Figar Unnavi
Sher
ik mashGala Thahrii hai tumhe.n ranjish-e-bejaa
ik khel hu.aa tum ko sataanaa mire dil kaa