SEARCH RESULTS
Showing search results for "रख-रखाव"
Sher MATCHES FOR "रख-रखाव"
Sher
vo jis ghamanD se bichh.Daa gila to is kaa hai
ki saarii baat mohabbat me.n rakh-rakhaav kii thii
Ahmad Faraz
Sher
har ek lafz me.n poshiida ik alaa.o na rakh
hai dostii to takalluf kaa rakh-rakhaa.o na rakh
Farooq Shamim
Sher
ek hasrat ne hame.n rab kaa muqarrab rakhaa
ham agar 'ishq nahii.n karte to kaafir hote
Ahtamam Sadiq
Sher
Anees Ansari
Sher
na haath rakh mire siine pe dil nahii.n is me.n
rakhaa hai aatish-e-sozaa.n ko daab ke ghar me.n
Shah Naseer
Sher
aashiq kaa KHat hai pa.Dhnaa zaraa dekh-bhaal ke
kaaGaz pe rakh diyaa hai kaleja nikaal ke
Lala Rakha Ram Barq
Sher
bazm-e-saaqii me.n rakhaa zahr kaa pyaala hogaa
vo piyegaa jo tiraa chaahne vaalaa hogaa
Unknown
Sher
bas ek pyaar ne saalim rakhaa hame.n yaaro
raqiib mar ga.e ham me.n shigaaf karte hu.e
Mukesh Aalam
Sher
kyaa KHuub 'barq' tuu ne dikhaayaa hai zor-e-tab.a
kaaGaz pe rakh diyaa hai kalejaa nikaal ke
Munshi Ram Rakha Barq
Sher
usii ne chaa.nd ke pahluu me.n ik charaaG rakhaa
usii ne dasht ke zarro.n ko aaftaab kiyaa
Faheem Shanas Kazmi
Sher
banaa rakhaa hai mansuuba ka.ii barso.n kaa tuu ne
agar ik din achaanak tujhko marnaa pa.D gayaa to
Asim Wasti
Sher
na ko.ii phuul hii rakhaa na aarzuu na charaaG
tamaam ghar ko bayaabaan kar diyaa mai.n ne