SEARCH RESULTS
Showing search results for "रफ़्तार"
Sher MATCHES FOR "रफ़्तार"
Sher
inqalaab aa.egaa raftaar se maayuus na ho
bahut aahista nahii.n hai jo bahut tez nahii.n
Ali Sardar Jafri
Sher
hausla hai to safiino.n ke alam lahraa.o
bahte dariyaa to chale.nge isii raftaar ke saath
Shahzad Ahmad
Sher
vaqt ruk ruk ke jinhe.n dekhtaa rahtaa hai 'saliim'
ye kabhii vaqt kii raftaar hu.aa karte the
Saleem Kausar
Sher
zaalim ne kyaa nikaalii raftaar rafta rafta
is chaal par chalegii talvaar rafta rafta
Dagh Dehlvi
Sher
raabta laakh sahii qaafila-saalaar ke saath
ham ko chalnaa hai magar vaqt kii raftaar ke saath
Qateel Shifai
Sher
allaah tere haath hai ab aabruu-e-shauq
dam ghuT rahaa hai vaqt kii raftaar dekh kar
Bismil Azimabadi
Sher
sirf taariiKH kii raftaar badal jaa.egii
na.ii taariiKH ke vaaris yahii insaa.n ho.nge
Rais Amrohvi
Sher
kaash itnaa hii samajh lete ye ahl-e-kaarvaa.n
faasle ba.Dh jaate hai.n sahmii hu.ii raftaar se
Saifi Azmi
Sher
har qadam duuri-e-manzil hai numaayaa.n mujh se
merii raftaar se bhaage hai bayaabaa.n mujh se
Mirza Ghalib
Sher
apnii apnii gardish-e-raftaar puurii kar to le.n
do sitaare phir kisii din ek jaa ho jaa.e.nge
Arzoo Lakhnavi
Sher
ai inqalaab-e-nau tirii raftaar dekh kar
KHud ham bhii sochte hai.n ki ab tak kahaa.n rahe
Shaukat Pardesi
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
na jaane kaisii mahruumii pas-e-raftaar chaltii hai
hamesha mere aage aage ik diivaar chaltii hai
Aziz Nabeel
Sher
miTTii kii ye diivaar kahii.n TuuT na jaa.e
roko ki mire KHuun kii raftaar bahut hai
Farhat Ehsas
Sher
Ehsan Danish
Sher
kartii hai mujhe qatl mire yaar kii talvaar
talvaar kii talvaar hai raftaar kii raftaar