SEARCH RESULTS
Showing search results for "रसद"
Sher MATCHES FOR "रसद"
Sher
eid kaa din hai gale aaj to mil le zaalim
rasm-e-duniyaa bhii hai mauqa.a bhii hai dastuur bhii hai
Qamar Badayuni
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
shab ko mai KHuub sii pii sub.h ko tauba kar lii
ri.nd ke ri.nd rahe haath se jannat na ga.ii
Jalal Lakhnavi
Sher
ye to ik rasm-e-jahaa.n hai jo adaa hotii hai
varna suuraj kii kahaa.n saalgirah hotii hai
Unknown
Sher
un ras bharii aa.nkho.n me.n hayaa khel rahii hai
do zahr ke pyaalo.n me.n qazaa khel rahii hai
Akhtar Shirani
Sher
is ghar kii saarii diivaare.n shiishe kii hai.n
lekin is ghar kaa maalik KHud ik patthar hai
Rasa Chughtai
Sher
jab lage.n zaKHm to qaatil ko du.aa dii jaa.e
hai yahii rasm to ye rasm uThaa dii jaa.e
Jan Nisar Akhtar
Sher
mai.n us ko dekh ke chup thaa usii kii shaadii me.n
mazaa to saaraa isii rasm ke nibaah me.n thaa