SEARCH RESULTS
Showing search results for "रहनुमाई"
Sher MATCHES FOR "रहनुमाई"
Sher
qadam qadam pe havaadis ne rahnumaa.ii kii
ravaa.n hai jaada-e-manzil pe kaarvaan-e-KHayaal
Yaqoob Usmani
Sher
KHudaa mahfuuz rakkhe intishaar-e-rahnumaa.ii se
isii manzil pe aa ke aadmii diivaana hotaa hai
Matin Niazi
Sher
daraKHt haath hilaate the rahnumaa.ii ko
musaafiro.n ne to kuchh bhii nahii.n kahaa mujh se
Iqbal Ashhar Quraishi
Sher
uThaa ke haath du.aa maa.ngne lage hai.n charaaG
to kar rahii hai bhalaa kaisii rahnumaa.ii sabaa
A.R Sahil 'Aleeg'
Sher
zamaana jin kii qayaadat me.n gaamzan thaa vo log
bhaTak ga.e tirii aa.nkho.n kii rahnumaa.ii me.n
Shehzad Anjum Burhani
Sher
Hafeez Banarasi
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
jaada jaada chho.D jaa.o apnii yaado.n ke nuquush
aane vaale kaarvaa.n ke rahnumaa ban kar chalo
Azeez Baghravi
Sher
manzil pe nazar aa.ii bahut duurii-e-manzil
be-saaKHta aane lage sab raah-numaa yaad
Azmat Abdul Qayyum Khan
Sher
ham un kii aas pe umre.n guzaar dete hai.n
vo mo.ajize jo kabhii ruunumaa nahii.n hote
Azhar Adeeb
Sher
ishq aataa na agar raah-numaa.ii ke liye
aap bhii vaaqif-e-manzil nahii.n hone paate
Saba Akbarabadi
Sher
ham ne KHud apne-aap zamaane kii sair kii
ham ne qubuul kii na kisii rahnumaa kii shart
Khalilur Rahman Azmi
Sher
dil jahaa.n le jaa.e dil ke saath jaanaa chaahiye
is se ba.Dh kar aur ko.ii rahnumaa hotaa nahii.n
Jameel Yusuf
Sher
jo az-KHud-rafta hai gumraah hai vo rahnumaa meraa
jo ik aalam se hai begaana hai vo aashnaa meraa
Waliullah Muhib
Sher
tanhaa uThaa luu.n mai.n bhii zaraa lutf-e-gumrahii
ai rahnumaa mujhe mirii qismat pe chho.D de