SEARCH RESULTS
Showing search results for "रहनुमाओं"
Sher MATCHES FOR "रहनुमाओं"
Sher
sahaaraa de nahii.n sakte shikasta paa.nv ko
haTaa.o raah-e-mohabbat se rahnumaa.o.n ko
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
Hafeez Banarasi
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
jaada jaada chho.D jaa.o apnii yaado.n ke nuquush
aane vaale kaarvaa.n ke rahnumaa ban kar chalo
Azeez Baghravi
Sher
manzil pe nazar aa.ii bahut duurii-e-manzil
be-saaKHta aane lage sab raah-numaa yaad
Azmat Abdul Qayyum Khan
Sher
ham un kii aas pe umre.n guzaar dete hai.n
vo mo.ajize jo kabhii ruunumaa nahii.n hote
Azhar Adeeb
Sher
ishq aataa na agar raah-numaa.ii ke liye
aap bhii vaaqif-e-manzil nahii.n hone paate
Saba Akbarabadi
Sher
ham ne KHud apne-aap zamaane kii sair kii
ham ne qubuul kii na kisii rahnumaa kii shart
Khalilur Rahman Azmi
Sher
qadam qadam pe havaadis ne rahnumaa.ii kii
ravaa.n hai jaada-e-manzil pe kaarvaan-e-KHayaal
Yaqoob Usmani
Sher
dil jahaa.n le jaa.e dil ke saath jaanaa chaahiye
is se ba.Dh kar aur ko.ii rahnumaa hotaa nahii.n
Jameel Yusuf
Sher
jo az-KHud-rafta hai gumraah hai vo rahnumaa meraa
jo ik aalam se hai begaana hai vo aashnaa meraa
Waliullah Muhib
Sher
KHudaa mahfuuz rakkhe intishaar-e-rahnumaa.ii se
isii manzil pe aa ke aadmii diivaana hotaa hai
Matin Niazi
Sher
tanhaa uThaa luu.n mai.n bhii zaraa lutf-e-gumrahii
ai rahnumaa mujhe mirii qismat pe chho.D de
Shah Deen Humayun
Sher
sab kuchh milaa hame.n jo tire naqsh-e-paa mile
haadii mile daliil mile rahnumaa mile
Zaheer Dehlvi
Sher
ye saaneha bhii ho gayaa hai raste me.n
jo rahnumaa thaa vahii kho gayaa hai raste me.n
Abdul Wahab Sukhan
Sher
go raahzan kaa vaar bhii kuchh kam na thaa magar
jo vaar kaargar hu.aa vo rahnumaa kaa thaa
Akbar Hameedi
Sher
daraKHt haath hilaate the rahnumaa.ii ko
musaafiro.n ne to kuchh bhii nahii.n kahaa mujh se