SEARCH RESULTS
Showing search results for "रहबर"
Sher MATCHES FOR "रहबर"
Sher
milnaa thaa ittifaaq bichha.Dnaa nasiib thaa
vo utnii duur ho gayaa jitnaa qariib thaa
Anjum Rehbar
Sher
kahii.n zamii.n se ta'alluq na KHatm ho jaa.e
bahut na KHud ko havaa me.n uchhaaliye saahib
Rajendra Nath Rahbar
Sher
kuchh din se zindagii mujhe pahchaantii nahii.n
yuu.n dekhtii hai jaise mujhe jaantii nahii.n
Anjum Rehbar
Sher
ab apnaa iKHtiyaar hai chaahe jahaa.n chale.n
rahbar se apnii raah judaa kar chuke hai.n ham
Faiz Ahmad Faiz
Sher
rahbar bhii ye hamdam bhii ye Gam-KHvaar hamaare
ustaad ye qaumo.n ke hai.n me.amaar hamaare
Unknown
Sher
'majruuh' qaafile kii mire daastaa.n ye hai
rahbar ne mil ke luuT liyaa raahzan ke saath
Majrooh Sultanpuri
Sher
maa.n mujhe dekh ke naaraaz na ho jaa.e kahii.n
sar pe aa.nchal nahii.n hotaa hai to Dar hotaa hai
Anjum Rehbar
Sher
vo habiib ho ki rahbar vo raqiib ho ki rahzan
jo dayaar-e-dil se guzre use ham-kalaam kar lo
Anwar Moazzam
Sher
dafnaa diyaa gayaa mujhe chaa.ndii kii qabr me.n
mai.n jis ko chaahtii thii vo la.Dkaa Gariib thaa
Anjum Rehbar
Sher
'anjum' tumhaaraa shahr jidhar hai usii taraf
ik rail jaa rahii thii ki tum yaad aa ga.e
Anjum Rehbar
Sher
tum ko bhulaa rahii thii ki tum yaad aa ga.e
mai.n zahr khaa rahii thii ki tum yaad ga.e
Anjum Rehbar
Sher
Abdul Hamid Adam
Sher
tuu ne hii rah na dikhaa.ii to dikhaa.egaa kaun
ham tirii raah me.n gumraah hu.e baiThe hai.n
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
jaantaa huu.n kaun kyaa hai aap kyuu.n de.n mashvara
mai.n luTero.n se bhii vaaqif aur rahbar-aashnaa
Abbas Alvi
Sher
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
ek din bhiige the barsaat me.n ham tum dono.n
ab jo barsaat me.n bhiigoge to yaad aa.uu.ngaa