SEARCH RESULTS
Showing search results for "राह-ए-इश्क़"
Sher MATCHES FOR "राह-ए-इश्क़"
Sher
ye raah-e-ishq hai aaKHir ko.ii mazaaq nahii.n
sa.uubato.n se jo ghabraa ga.e ho.n ghar jaa.e.n
Dil Ayubi
Sher
is baar raah-e-ishq kuchh itnii taviil thii
us ke badan se ho ke guzarnaa pa.Daa mujhe
Ameer Imam
Sher
Farhat Nadeem Humayun
Sher
Thokar bhii raah-e-ishq me.n khaanii zaruur hai
chaltaa nahii.n huu.n raah ko hamvaar dekh kar
Dagh Dehlvi
Sher
ham ko sambhaaltaa ko.ii kyaa raah-e-ishq me.n
khaa khaa ke Thokare.n hamii.n aaKHir sambhal ga.e
Aziz Hyderabadi
Sher
'bedaar' raah-e-ishq kisii se na tai hu.ii
sahraa me.n qais koh me.n farhaad rah gayaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
sar diije raah-e-ishq me.n par mu.nh na mo.Diye
patthar kii sii lakiir hai ye koh-kan kii baat
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
kis tarah se guzaar karuu.n raah-e-ishq me.n
kaaTe hai ab har ek qadam par zamii.n mujhe
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Shah Naseer
Sher
mai.n raah-e-ishq ke har pech-o-KHam se vaaqif huu.n
ye raasta mire ghar se nikal ke jaataa hai
Munawwar Rana
Sher
ye kyuu.n kahte ho raah-e-ishq par chalnaa hai ham ko
kaho ki zindagii se ab faraaGat chaahiye hai
Farhat Nadeem Humayun
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
ai muqallid bul-havas ham se na kar daavaa-e-ishq
daaG laala kii tarah rakhte hai.n maadar-zaad ham
Ishq Aurangabadi
Sher
'ishq' raushan thaa vahaa.n diida-e-aahuu se charaaG
mai.n jo yak raat gayaa qais ke kaashaane me.n
Ishq Aurangabadi
Sher
thaa jis pe naaz kabhii ab vo aarzuu na rahii
niyaaz-e-'ishq kii pahlii sii aabruu na rahii
A. D. Azhar
Sher
jhuuTaa samaaj rasm-o-rivaayaat sarhade.n
ab bhii hai.n raah-e-ishq me.n diivaar kii tarah
Aleena Itrat
Sher
dekhne vaale ye kahte hai.n kitaab-e-dahr me.n
tuu saraapaa husn kaa naqsha hai mai.n tasviir-e-ishq