SEARCH RESULTS
Showing search results for "राह-ए-सफ़र"
Sher MATCHES FOR "राह-ए-सफ़र"
Sher
kahii.n sadaa-e-jaras hai na gard-e-raah-e-safar
Thahar gayaa hai kahaa.n qaafila tamannaa kaa
Javed Shaheen
Sher
daad-e-safar milii hai kise raah-e-shauq me.n
ham ne miTaa diye hai.n nishaa.n apne paa.nv ke
Qateel Shifai
Sher
chaaliis jaam pii ke diyaa ek jaam-e-mai
saaqii ne KHuub raah nikaalii zakaat kii
Kalb-e-husain Nadir
Sher
ham ruuh-e-safar hai.n hame.n naamo.n se na pahchaan
kal aur kisii naam se aa jaa.e.nge ham log
Razi Akhtar Shauq
Sher
ik ta.aaruf to zaruurii hai sar-e-raah-e-junuu.n
dasht vaale na.e barbaad ko kab jaante hai.n
Aziz Nabeel
Sher
kis ne rokaa hai sar-e-raah-e-mohabbat tum ko
tumhe.n nafrat hai to nafrat se tum aa.o jaa.o
Rafi Raza
Sher
ham sar-e-raah-e-vafaa us ko sadaa kyaa dete
jaane vaale ne palaT kar hame.n dekhaa bhii na thaa
Gulnar Aafreen
Sher
Masood Tanha
Sher
dil ko tire firaaq kii aarzuu yaad rah ga.ii
din vo mohabbato.n ke bhii misl-e-rah-e-safar ga.e
Kishwar Naheed
Sher
Ahsan Shafiq
Sher
sar diije raah-e-ishq me.n par mu.nh na mo.Diye
patthar kii sii lakiir hai ye koh-kan kii baat
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
rah-e-qaraar ajab raah-e-be-qaraarii hai
ruke hu.e hai.n musaafir safar bhii jaarii hai
Ram Awtar Gupta Muztar
Sher
Noon Meem Rashid
Sher
dil me.n aa raah-e-chashm-e-hairaa.n sii.n
khul rahe hai.n mirii palak ke paaT