SEARCH RESULTS
Showing search results for "रीत"
Sher MATCHES FOR "रीत"
Sher
Imam Azam
Sher
is gulistaa.n kii yahii riit hai ai shaaKH-e-gul
tuu ne jis phuul ko paalaa vo paraayaa hogaa
Kaif Bhopali
Sher
Ibn e Insha
Sher
vafaa karo jafaa mile bhalaa karo buraa mile
hai riit desh desh kii chalan chalan kii baat hai
Akhtar Muslimi
Sher
nafrat se hai nafrat ham ko priit hamaarii riit
pyaar ke hai.n anmol KHazaane titlii phuul aur mai.n
Aslam Faizi
Sher
chupke chupke raat din aa.nsuu bahaanaa yaad hai
ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai
Hasrat Mohani
Sher
ik raat vo gayaa thaa jahaa.n baat rok ke
ab tak rukaa hu.aa huu.n vahii.n raat rok ke
Farhat Ehsas
Sher
Ibn e Insha
Sher
kab Thahregaa dard ai dil kab raat basar hogii
sunte the vo aa.e.nge sunte the sahar hogii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
raat to vaqt kii paaband hai Dhal jaa.egii
dekhnaa ye hai charaaGo.n kaa safar kitnaa hai
Waseem Barelvi
Sher
har ek raat ko mahtaab dekhne ke liye
mai.n jaagtaa huu.n tiraa KHvaab dekhne ke liye