SEARCH RESULTS
Showing search results for "रौनक़"
Sher MATCHES FOR "रौनक़"
Sher
un ke dekhe se jo aa jaatii hai mu.nh par raunaq
vo samajhte hai.n ki biimaar kaa haal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
kal jinhe.n chhuu nahii.n saktii thii farishto.n kii nazar
aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aate hai.n
Saghar Siddiqui
Sher
dil-e-muztar se puuchh ai raunaq-e-bazm
mai.n KHud aayaa nahii.n laayaa gayaa huu.n
Shad Azimabadi
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
dil ke viiraane me.n ghuume to bhaTak jaa.oge
raunaq-e-kuucha-o-baazaar se aage na ba.Dho
Ada Jafarey
Sher
so apne shahr ke raunaq kii KHair maa.ngnaa tum
mai.n apne gaa.nv se ik shaam le ke aa rahaa huu.n
Ahtamam Sadiq
Sher
ghar me.n das ho.n to ye raunaq nahii.n hogii ghar me.n
ek diivaane se aabaad hai sahraa kaisaa
Riyaz Khairabadi
Sher
raunaq-e-bazm nahii.n thaa ko.ii tujh se pahle
raunaq-e-bazm tire baa'd nahii.n hai ko.ii
Sarfaraz Khalid
Sher
Shahzad Ahmad
Sher
ek ha.ngaame pe mauquuf hai ghar kii raunaq
nauha-e-Gam hii sahii naGma-e-shaadii na sahii
Mirza Ghalib
Sher
Unknown
Sher
mere raste me.n jo raunaq thii mere fan kii thii
mere ghar me.n jo a.ndheraa thaa meraa apnaa thaa
Kaifi Wijdani
Sher
u.D jaa.uu.ngaa bahaar me.n maanind-e-buu-e-gul
zanjiir mere paa-e-junuu.n me.n hazaar Daal
Raunaq Tonkvi
Sher
aa ga.ii hai tire biimaar ke mu.nh par raunaq
jaan kyaa jism se niklii ko.ii armaa.n niklaa