SEARCH RESULTS
Showing search results for "लम्स"
Sher MATCHES FOR "लम्स"
Sher
kisii ke lams kii taasiir hai ki barso.n ba.ad
mirii kitaabo.n me.n ab bhii gulaab jaagte hai.n
Akhlaque Bandvi
Sher
muflisii bhuuk ko shahvat se milaa detii hai
gandumii lams me.n hai zaa.iqa-e-naan-e-javii.n
Abdul Ahad Saaz
Sher
vo mere lams se mahtaab ban chukaa hotaa
magar milaa bhii to jugnuu paka.Dne vaalo.n ko
Nomaan Shauque
Sher
Aziz Nabeel
Sher
damak rahaa thaa bahut yuu.n to pairahan us kaa
zaraa se lams ne raushan kiyaa badan us kaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
mai.n aisaa narm tabii.at kabhii na thaa pahle
zaruur lams ko.ii us kaa chhuu gayaa mujh ko
Ghazanfar
Sher
ye us ke lams kaa jaaduu nahii.n to phir kyaa hai
havaa ne chuumaa hai mujh ko gale milii hai shaam
Iqbal Khawar
Sher
bas ek lams ki jal jaa.e.n sab KHas-o-KHaashaak
ise visaal bhii kahte hai.n KHush-bayaanii me.n
Farhat Ehsas
Sher
lams kii shiddate.n mahfuuz kahaa.n rahtii hai.n
jab vo aataa hai ka.ii faasle kar jaataa hai
Ateequllah
Sher
havaa ke lams me.n us kii mahak bhii hotii hai
vo shaaKH-e-gul jo kahii.n ruu-ba-ruu nahii.n hotii
Ashraf Yousafi
Sher
ajnabii KHushbuu kii aahaT se mahak uTThaa badan
qahqaho.n ke lams se KHauf-e-KHizaa.n raushan hu.aa
Zaki Tariq
Sher
kyaa kisii kaa lams phir insaa.n banaa.egaa mujhe
us ke jaate hii samuucha jism patthar ho gayaa
Irshad Khan Sikandar
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
sabt hai mere labo.n par aaj bhii teraa vo lams
aaj bhii hai tere KHvaabo.n kaa baseraa aa.nkh me.n
Farhan Hanif Warsi
Sher
lams-e-sadaa-e-saaz ne zaKHm nihaal kar diye
ye to vahii hunar hai jo dast-e-tabiib-e-jaa.n me.n thaa
Ahmad Shahryar
Sher
tujh ko ho mere lams kii KHvaahish shadiid-tar
tujh se tamaam 'umr miraa saamnaa na ho