SEARCH RESULTS
Showing search results for "लेकिन"
Sher MATCHES FOR "लेकिन"
Sher
ham ko ma.aluum hai jannat kii haqiiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'Gaalib' ye KHayaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
Mirza Ghalib
Sher
dushmanii jam kar karo lekin ye gunjaa.ish rahe
jab kabhii ham dost ho jaa.e.n to sharminda na ho.n
Bashir Badr
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
musaafiro.n se mohabbat kii baat kar lekin
musaafiro.n kii mohabbat kaa e'tibaar na kar
Umar Ansari
Sher
hasii.n to aur hai.n lekin ko.ii kahaa.n tujh saa
jo dil jalaa.e bahut phir bhii dilrubaa hii lage
Bashir Badr
Sher
Nushur Wahidi
Sher
ye mohabbat kii kahaanii nahii.n martii lekin
log kirdaar nibhaate hu.e mar jaate hai.n
Abbas Tabish
Sher
Muneer Niyazi
Sher
ham ne maanaa ki taGaaful na karoge lekin
KHaak ho jaa.e.nge ham tum ko KHabar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
achchhaa hai dil ke saath rahe paasbaan-e-aql
lekin kabhii kabhii ise tanhaa bhii chho.D de
Allama Iqbal
Sher
akbar dabe nahii.n kisii sultaa.n kii fauj se
lekin shahiid ho ga.e biivii kii nauj se
Akbar Allahabadi
Sher
saahil ke sukuu.n se kise inkaar hai lekin
tuufaan se la.Dne me.n mazaa aur hii kuchh hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
tire jamaal kii tasviir khii.nch duu.n lekin
zabaa.n me.n aa.nkh nahii.n aa.nkh me.n zabaan nahii.n