SEARCH RESULTS
Showing search results for "वहशत-ए-दिल"
Sher MATCHES FOR "वहशत-ए-दिल"
Sher
vahshat-e-dil ne kiyaa hai vo bayaabaa.n paidaa
saik.Do.n kos nahii.n suurat-e-insaa.n paidaa
Haidar Ali Aatish
Sher
vahshat-e-dil ko.ii shahro.n me.n samaa saktii hai
kaash le jaa.e junuu.n suu-e-bayaabaa.n mujh ko
Qayem Chaandpuri
Sher
baato.n se sivaa hotii hai kuchh vahshat-e-dil aur
ahbaab pareshaa.n hai.n mire tarz-e-amal se
Yusuf Zafar
Sher
saarii duniyaa se alag vahshat-e-dil hai apnii
ye ki lagtii hai na ghar kii na bayaabaa.n vaalii
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
na ab vo shiddat-e-aavaargii na vahshat-e-dil
hamaare naam kii kuchh aur shohrate.n bhii ga.ii.n
Sahar Ansari
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn e Insha
Sher
vahshat-e-dil ye ba.Dhii chho.D diye ghar sab ne
tum hu.e KHaana-nashii.n ho ga.ii.n galiyaa.n aabaad
Taashshuq Lakhnavi
Sher
KHaak-e-sahraa to bahut duur hai ai vahshat-e-dil
kyuu.n na zehno.n pe jamii gard u.Daa dii jaa.e
Arshad Kamal
Sher
chaahuu.n ki haal-e-vahshat-e-dil kuchh raqam karuu.n
bhaage.n huruuf vaqt-e-nigaarish qalam se duur
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
is shahr me.n to kuchh nahii.n rusvaa.ii ke sivaa
ai 'dil' ye ishq le ke kidhar aa gayaa tujhe
Dil Ayubi
Sher
aarzuu lutf talab ishq saraasar naakaam
mubtalaa zindagi-e-dil inhii.n auhaam me.n hai
Dil Shahjahanpuri
Sher
chhupaa na gosha-nashiinii se raaz-e-dil 'vahshat'
ki jaantaa hai zamaana mire suKHan se mujhe
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
aa.nkh me.n jalva tiraa dil me.n tirii yaad rahe
ye mayassar ho to phir kyuu.n ko.ii naashaad rahe
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
kis tarah husn-e-zabaa.n kii ho taraqqii 'vahshat'
mai.n agar KHidmat-e-urdu-e-mu.allaa na karuu.n
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
sach kahaa hai ki ba-ummiid hai duniyaa qaa.im
dil-e-hasrat-zada bhii teraa tamannaa.ii hai