SEARCH RESULTS
Showing search results for "वहशियों"
Sher MATCHES FOR "वहशियों"
Sher
vahshiyo.n ko qaid se chhuuTe hu.e muddat hu.ii
guu.njtaa hai shor ab tak kaan me.n zanjiir kaa
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
Sher
Manzar Lakhnavi
Sher
bahut fareb se ham vahshiyo.n ko vahshat hai
hamaare dasht me.n 'naasiKH' kahii.n saraab nahii.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
Goya Faqir Mohammad
Sher
vahshiyo.n ko ye sabaq detii hu.ii aa.ii bahaar
taar baaqii na rahe ko.ii garebaano.n me.n
Abr Ahsani Ganauri
Sher
kuchh be-Thikaana kartii rahii.n hijrate.n mudaam
kuchh merii vahshato.n ne mujhe dar-ba-dar kiyaa
Sabir Zafar
Sher
dayaar-e-nuur me.n tiira-shabo.n kaa saathii ho
ko.ii to ho jo mirii vahshato.n kaa saathii ho
Iftikhar Arif
Sher
har ek samt yahaa.n vahshato.n kaa maskan hai
junuu.n ke vaaste sahraa o aashiyaana kyaa
Azhar Iqbal
Sher
jab apnii sar-zamiin ne mujh ko na dii panaah
anjaan vaadiyo.n me.n utarnaa pa.Daa mujhe
Adeel Zaidi
Sher
Nasir Shahzad
Sher
mirii vahshato.n kaa sabab kaun samjhe
ki mai.n gum-shuda qaafila chaahtaa huu.n
Khalid Mubashshir
Sher
Wali Uzlat
Sher
tiraa KHayaal mire dil me.n kaise ghar kartaa
tiraa KHayaal mirii vahshato.n se aage hai