SEARCH RESULTS
Showing search results for "शब-बेदारी"
Sher MATCHES FOR "शब-बेदारी"
Sher
sharaab o saaqii-e-mah-ruu jo saath ho.n 'bedaar'
to KHush-numaa hai shab-e-maahtaab me.n dariyaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
tirii zulf kii shab kaa bedaar mai.n huu.n
tujh aa.nkho.n ke saaGar kaa mai-KHvaar mai.n huu.n
Wali Uzlat
Sher
ham kis ko dikhaate shab-e-furqat kii udaasii
sab KHvaab me.n the raat ko bedaar hamii.n the
Taashshuq Lakhnavi
Sher
ye roz o shab ye sub.h o shaam ye bastii ye viiraana
sabhii bedaar hai.n insaa.n agar bedaar ho jaa.e
Jigar Moradabadi
Sher
ai shab-e-KHvaab ye hangaam-e-tahayyur kyaa hai
KHud ko gar nii.nd se bedaar kiyaa hai mai.n ne
Afzal Gauhar Rao
Sher
yaad karte hai.n tujhe dair-o-haram me.n shab-o-roz
ahl-e-tasbiih judaa saahib-e-zunnaar judaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
jaataa hai chalaa qaafila-e-ashk shab o roz
ma.aluum nahii.n us kaa iraada hai kahaa.n kaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
nashsha-e-husn me.n sarshaar chalaa jaataa hai
shab-e-taariik hai dildaar KHudaa ko sau.npaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
shaayad ki kisii aur se thaa vasl kaa va.ada
ma.aluum hu.aa ye tirii be-zaari-e-shab se