SEARCH RESULTS
Showing search results for "शम-ए-हरम"
Sher MATCHES FOR "शम-ए-हरम"
Sher
us ke faroG-e-husn se jhamke hai sab me.n nuur
sham-e-haram ho yaa ki diyaa somnaat kaa
Meer Taqi Meer
Sher
niklaa na daaG-e-dil se hamaaraa to ko.ii kaam
na vo charaaG-e-dair na sham-e-haram hu.aa
Munawar Khan Ghafil
Sher
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
na puuchhiye ki shab-e-hijr ham pe kyaa guzrii
tamaam raat jale sham-e-anjuman kii tarah
Wahid Premi
Sher
dekhaa to ek sho.ale se ai shaiKH-o-barhaman
raushan hai.n sham-e-dair o charaaG-e-haram baham
Baqaullah 'Baqa'
Sher
mai-KHaana salaamat hai to ham surKHii-e-mai se
taz.iin-e-dar-o-baam-e-haram karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ye sahn-e-arz-e-haram hai ba-ehtiyaat qadam
bahut qariib KHudaa hai zaraa sa.nbhal ke chalo
adil zaidi
Sher
kyuu.n tiirgii se is qadar maanuus huu.n 'zafar'
ik sham-e-rah-guzaar ki sahar tak jalii bhii hai
Ahmad Zafar
Sher
kahte hai.n jise husn vo hai shama-e-jahaa.n-taab
kahte hai.n jise ishq vo parvaana hai us kaa
Naseem Dehlvi
Sher
sham-e-KHema ko.ii zanjiir nahii.n ham-safaraa.n
jis ko jaanaa hai chalaa jaa.e ijaazat kaisii
Irfan Siddiqi
Sher
kahaa.n hai.n aaj vo sham-e-vatan ke parvaane
bane hai.n aaj haqiiqat unhii.n ke afsaane
Siraj Lakhnavi
Sher
chal diye suu-e-haram kuu-e-butaa.n se 'momin'
jab diyaa ranj buto.n ne to KHudaa yaad aayaa
Momin Khan Momin
Sher
ik sham-e-aarzuu kii haqiiqat hii kyaa magar
tuufaa.n me.n ham charaaG jalaa.e hu.e to hai.n
Junaid Hazin Lari
Sher
Rajinder Manchanda Bani
Sher
shaam hone ko hai jalne ko hai sham-e-mahfil
saa.ns lene kii bhii fursat nahii.n parvaane ko
Shahzad Ahmad
Sher
tuufaan-e-Gam kii tund havaa.o.n ke baavajuud
ik sham-e-aarzuu hai jo ab tak bujhii nahii.n