SEARCH RESULTS
Showing search results for "शर्तें"
Sher MATCHES FOR "शर्तें"
Sher
sharte.n lagaa.ii jaatii nahii.n dostii ke saath
kiije mujhe qubuul mirii har kamii ke saath
Waseem Barelvi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
tamiiz-e-KHvaab-o-haqiiqat hai shart-e-bedaarii
KHayaal-e-azmat-e-maazii ko chho.D haal ko dekh
Sikandar Ali Wajd
Sher
tumhaarii zaat havaala hai surKH-ruu.ii kaa
tumhaare zikr ko sab shart-e-fan banaate hai.n
Amir Hamza Saqib
Sher
un se aur mujh se yahii shart-e-vafaa Thahrii hai
vo sitam Dhaa.e.n magar un ko sitam-gar na kahuu.n
Meer Soz
Sher
safar hii shart-e-safar hai to KHatm kyaa hogaa
tumhaare ghar se udhar bhii ye raasta hogaa
Akhtar Saeed Khan
Sher
Aziz Hamid Madni
Sher
tadbiir ma.aash is jaa hai shart-e-KHirad-mandii
insaan nahii.n ginte ham 'mus.hafii' kaa.er ko
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Dilawar Figar
Sher
uTho ye manzar-e-shab-taab dekhne ke liye
ki nii.nd shart nahii.n KHvaab dekhne ke liye
Irfan Siddiqi
Sher
aashiq ko dekhte hai.n dupaTTe ko taan kar
dete hai.n ham ko sharbat-e-diidaar chhaan kar
Meer Anees
Sher
kaisii ajiib shart hai diidaar ke liye
aa.nkhe.n jo band ho.n to vo jalva dikhaa.ii de
Krishn Bihari Noor
Sher
terii sharto.n pe hii karnaa hai agar tujh ko qubuul
ye suhulat to mujhe saaraa jahaa.n detaa hai
Azhar Faragh
Sher
yuu.n dekhnaa us ko ki ko.ii aur na dekhe
in.aam to achchhaa thaa magar shart ka.Dii thii