SEARCH RESULTS
Showing search results for "शर्बत"
Sher MATCHES FOR "शर्बत"
Sher
aashiq ko dekhte hai.n dupaTTe ko taan kar
dete hai.n ham ko sharbat-e-diidaar chhaan kar
Meer Anees
Sher
Yagana Changezi
Sher
detii sharbat hai kise zahr bharii aa.nkh tirii
ain ehsaan hai vo zahr bhii gar detii hai
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Gair ko sharbat-e-diidaar mubaarak teraa
ab to paanii bhii piyegaa na tire ghar kaa ko.ii
Unknown
Sher
yuu.n ilaaj-e-dil biimaar kiyaa jaa.egaa
sharbat-e-diid se sarshaar kiyaa jaa.egaa
Afzal Allahabadi
Sher
jaataa hai miraa jaan nipaT pyaas lagii hai
ma.ngtaa huu.n zaraa sharbat-e-diidaar kisii kaa
Siraj Aurangabadi
Sher
daulat ke daa.nt kund kiye mere hirs ne
khaTTaa tamaam sharbat-e-diinaar kar diyaa
Muneer Shikohabadi
Sher
uTho ye manzar-e-shab-taab dekhne ke liye
ki nii.nd shart nahii.n KHvaab dekhne ke liye
Irfan Siddiqi
Sher
kaisii ajiib shart hai diidaar ke liye
aa.nkhe.n jo band ho.n to vo jalva dikhaa.ii de
Krishn Bihari Noor
Sher
yuu.n dekhnaa us ko ki ko.ii aur na dekhe
in.aam to achchhaa thaa magar shart ka.Dii thii
Parveen Shakir
Sher
bhare baazaar me.n baiThaa huu.n liye jins-e-vajuud
shart ye hai ki mirii KHaak kii qiimat dii jaa.e
Salim Saleem
Sher
'shu.uur' sirf iraade se kuchh nahii.n hotaa
amal hai shart iraade sabhii ke hote hai.n
Anwar Shuoor
Sher
safar hai shart musaafir-navaaz bahutere
hazaar-haa shajar-e-saaya-daar raah me.n hai