SEARCH RESULTS
Showing search results for "शाख़-सार"
Sher MATCHES FOR "शाख़-सार"
Sher
Gubaar saa hai sar-e-shaaKH-saar kahte hai.n
chalaa hai qaafila-e-nau-bahaar kahte hai.n
Asghar Saleem
Sher
har ek shaam sa.nvar jaa.egii mirii 'mohsin'
har ek baat tumhaarii hai shaa.irii kii tarah
Daood Mohsin
Sher
baiThe the jab to saare parinde the saath saath
u.Dte hii shaaKH se ka.ii samto.n me.n baT ga.e
Saghar Azmi
Sher
phaldaar daraKHto.n ne rijhaayaa to mujhe bhii
aazaad parindo.n ke liye shaaKH-o-samar kyaa
Badr Wasti
Sher
na haath suukh ke jha.Dte hai.n jism se apne
na shaaKH ko.ii samar-baar apnii hotii hai
Azlan shah
Sher
dard kii dhuup me.n sahraa kii tarah saath rahe
shaam aa.ii to lipaT kar hame.n diivaar kiyaa
Atta Shad
Sher
gardish-e-charKH nahii.n kam bhii hanDole se ki mahr
shaam ko maah se uu.nchaa hai sahar hai niichaa
Shah Naseer
Sher
itnaa bhii naa-umiid dil-e-kam-nazar na ho
mumkin nahii.n ki shaam-e-alam kii sahar na ho
Naresh Kumar Shad
Sher
kabhii sahar to kabhii shaam le gayaa mujh se
tumhaaraa dard ka.ii kaam le gayaa mujh se
Farhat Abbas Shah
Sher
lete hai.n samar shaaKH-e-samarvar ko jhukaa kar
jhukte hai.n saKHii vaqt-e-karam aur ziyaada
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
chand KHushbuu ke diye saath me.n le aa.e hai.n
shaaKH-e-gul daaman-e-sauGaat me.n le aa.e hai.n
Unknown
Sher
mil hii jaa.egii kabhii manzil-e-maqsuud-e-sahar
shart ye hai ki safar karte raho shaam ke saath
Aziz Tamannai
Sher
shaam ke saa.e me.n jaise pe.D kaa saayaa mile
mere miTne kaa tamaashaa dekhne kii chiiz thii