SEARCH RESULTS
Showing search results for "शाम-ए-ग़म"
Sher MATCHES FOR "शाम-ए-ग़म"
Sher
bahlaa na dil na tiirgii-e-shaam-e-Gam ga.ii
ye jaantaa to aag lagaataa na ghar ko mai.n
Fani Badayuni
Sher
Unknown
Sher
nuur-e-sahar kahaa.n hai agar shaam-e-Gam ga.ii
kab iltifaat thaa ki jo KHuu-e-sitam ga.ii
Mukhtar Siddiqui
Sher
shaam-e-Gam mai.n ne jo puuchhaa miraa Gam-KHvaar hai kaun
ik Gazal 'miir' ke diivaan se baahar aa.ii
Aziz Nabeel
Sher
ai shaam-e-Gam kii gahrii KHamoshii tujhe salaam
kaano.n me.n ek aa.ii hai aavaaz duur kii
Heera Lal Falak Dehlvi
Sher
baal ruKHsaaro.n se jab us ne haTaa.e to khulaa
do fara.ngii sair ko nikle hai.n mulk-e-shaam se
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
shab-gaziida ko tire is kii KHabar hii kab thii
din jo aa.egaa Gam-e-laa-mutanaahii degaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
in a.ndhero.n se pare is shab-e-Gam se aage
ik na.ii sub.h bhii hai shaam-e-alam se aage
Ishrat Qadri
Sher
dono.n jahaan terii mohabbat me.n haar ke
vo jaa rahaa hai ko.ii shab-e-Gam guzaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ai shaam-e-hijr-e-yaar mirii tuu gavaahii de
mai.n tere saath saath rahaa ghar nahii.n gayaa
Azeem Haider Syed
Sher
itnaa bhii naa-umiid dil-e-kam-nazar na ho
mumkin nahii.n ki shaam-e-alam kii sahar na ho
Naresh Kumar Shad
Sher
Gurbat kii sub.h me.n bhii nahii.n hai vo raushnii
jo raushnii ki shaam-e-savaad-e-vatan me.n thaa
Hasrat Mohani
Sher
tanhaa tire maatam me.n nahii.n shaam-e-siyah-posh
rahtaa hai sadaa chaak garebaan-e-sahar bhii
Mohammad Rafi Sauda
Sher
shajar ne puuchhaa ki tujh me.n ye kis kii KHushbuu hai
havaa-e-shaam-e-alam ne kahaa udaasii kii