SEARCH RESULTS
Showing search results for "शोबा"
Sher MATCHES FOR "शोबा"
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
us Gairat-e-naahiid kii har taan hai diipak
sho.ala saa lapak jaa.e hai aavaaz to dekho
Momin Khan Momin
Sher
kitnii ghaTaa.e.n aa.ii.n baras kar guzar ga.ii.n
shola hamaare dil kaa bujhaayaa na jaa sakaa
Wasif Dehlvi
Sher
eid ko bhii vo nahii.n milte hai.n mujh se na mile.n
ik baras din kii mulaaqaat hai ye bhii na sahii
Shola Aligarhi
Sher
har kuucha sho.ala-zaar hai har shahr qatl-gaah
yak-jehtii-e-hayaat ke aadaab kyaa hu.e
Sahir Ludhianvi
Sher
us ne achchhaa hii kiyaa haal na puuchhaa dil kaa
bha.Dak uThtaa to ye sho.ala na dabaayaa jaataa
Altaf Hussain Hali
Sher
diivaar-o-dar pe kirshn kii liilaa ke naqsh hai.n
mandir hai ye to 'krishn' ke darbaar kii tarah
Shobha Kukkal
Sher
raakh ke Dher pe kyaa sho.ala-bayaanii karte
ek qisse kii bhalaa kitnii kahaanii karte
Irfan Sattar
Sher
ek sho.ala saa uThaa thaa dil me.n
jaane kis kii thii sadaa yaad nahii.n
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
ahl-e-dil ke darmiyaa.n the 'miir' tum
ab suKHan hai sho.abada-kaaro.n ke biich
Obaidullah Aleem
Sher
aa.nkh se qatl kare lab se jalaa.e murde
sho.abada-baaz kaa adnaa saa karishma dekho
Rind Lakhnavi
Sher
ishq sar-taa-ba-qadam aatish-e-sozaa.n hai magar
us me.n shola na sharaara na dhu.aa.n hotaa hai
Amir Usmani
Sher
KHamosh jalne kaa dil ke ko.ii gavaah nahii.n
ki sho.ala surKH nahii.n hai dhu.aa.n siyaah nahii.n