SEARCH RESULTS
Showing search results for "शौक़-ए-शहादत"
Sher MATCHES FOR "शौक़-ए-शहादत"
Sher
Shah Naseer
Sher
vo bulaate to hai.n mujh ko magar ai jazba-e-dil
shauq itnaa bhii na ba.Dh jaa.e ki jaa.e na bane
A. D. Azhar
Sher
jahaa.n me.n ho ga.ii naa-haq tirii jafaa badnaam
kuchh ahl-e-shauq ko daar-o-rasan se pyaar bhii hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
daastaan-e-shauq kitnii baar dohraa.ii ga.ii
sun.ne vaalo.n me.n tavajjoh kii kamii paa.ii ga.ii
Aale Ahmad Suroor
Sher
huu.n tishna-kaam-e-dasht-e-shahaadat zi-bas ki mai.n
girtaa huu.n aab-e-KHanjar-o-shamshiir dekh kar
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
kaafir-e-ishq huu.n mushtaaq-e-shahaadat bhii huu.n
kaash mil jaa.e tirii teG kaa zunnaar kahii.n
Hatim Ali Mehr
Sher
paar dariyaa-e-shahaadat se utar jaate hai.n sar
kashtii-e-ushshaaq kii mallaah ban jaatii hai teG
Bayan Meeruthi
Sher
Chakbast Braj Narayan
Sher
ho gayaa band dar-e-mai-kadaa kyaa qahr hu.aa
shauq-e-paa-bos-e-hasiinaa.n jo tujhe thaa ai dil
Ameer Minai
Sher
shauq-e-nazzaara-e-diidaar me.n tere hamdam
jaan aa.nkho.n me.n mirii jaan rahaa kartii hai
Rind Lakhnavi
Sher
vo shauq-e-rabt-e-nau me.n kha.Dii jhuultii rahii
mai.n shaaKH-e-e.atibaar se phal kii tarah giraa
Idris Azad
Sher
Aslam Mahmood
Sher
tire visaal kii kab aarzuu rahii dil ko
ki ham ne chaahaa tujhe shauq-e-be-sabab ke liye
Azeem Quraishi
Sher
ajiib chiiz hai ye shauq-e-aarzuu-mandii
hayaat miT ke rahii dil KHaraab ho ke rahaa
Arshi Bhopali
Sher
allaah-re fart-e-shauq-e-asiirii kii shauq me.n
pahro.n uThaa uThaa ke salaasil ko dekhnaa
Anwar Dehlvi
Sher
garmii-e-shauq-e-nazaara kaa asar to dekho
gul khile jaate hai.n vo saaya-e-tar to dekho