SEARCH RESULTS
Showing search results for "सत-जगों"
Sher MATCHES FOR "सत-जगों"
Sher
apne chehre se jo zaahir hai chhupaa.e.n kaise
terii marzii ke mutaabiq nazar aa.e.n kaise
Waseem Barelvi
Sher
un ke dekhe se jo aa jaatii hai mu.nh par raunaq
vo samajhte hai.n ki biimaar kaa haal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
muskuraate hu.e miltaa huu.n kisii se jo 'zafar'
saaf pahchaan liyaa jaaataa huu.n royaa hu.aa mai.n
Zafar Iqbal
Sher
aa.nkh bhar aa.ii kisii se jo mulaaqaat hu.ii
KHushk mausam thaa magar TuuT ke barsaat hu.ii
Manzar Bhopali
Sher
utraa thaa merii ruuh ke rauzan se jo kabhii
ghuT ghuT ke mere jism me.n marne lagaa hai vo
Anwar Minai
Sher
apnii ammii ko mohabbat se jo dekhaa mai.n ne
puurii jannat mirii aa.nkho.n me.n simaT aa.ii hai
Mahfooz Mohammad
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
terii mahfil se jo niklaa to ye manzar dekhaa
mujhe logo.n ne bulaayaa mujhe chhuu kar dekhaa
Rahat Indori
Sher
tire karam se jo daaman hamaare bhar jaa.e.n
hasad kii aag me.n jal jal ke log mar jaa.e.n
Faisal Qadri Gunnauri
Sher
apne chehre se jo zulfo.n ko haTaayaa us ne
dekh lii shaam ne taabinda sahar kii suurat
Aatish Bahawalpuri
Sher
jaagtii aa.nkh se jo KHvaab thaa dekhaa 'anvar'
us kii ta.abiir mujhe dil ke jalaane se milii
Anwar Sadeed
Sher
Guruur se jo zamii.n par qadam nahii.n rakhtii
ye kis galii se nasiim-e-bahaar aatii hai
Jaleel Manikpuri
Sher
bachpan me.n shauq se jo gharau.nde banaa.e the
ik huuk sii uThii unhe.n mismaar dekh kar
Shifa Kajgavnwi
Sher
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii hai
par nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii hai