SEARCH RESULTS
Showing search results for "सब्र-ए-समीम"
Sher MATCHES FOR "सब्र-ए-समीम"
Sher
kahaa.n se laa.uu.n sabr-e-hazrat-e-ayyuub ai saaqii
KHum aa.egaa suraahii aa.egii tab jaam aa.egaa
Shad Azimabadi
Sher
Gubaar saa hai sar-e-shaaKH-saar kahte hai.n
chalaa hai qaafila-e-nau-bahaar kahte hai.n
Asghar Saleem
Sher
jise kabhii sar-e-mimbar na kah sakaa vaa.iz
vo baat ahl-e-junuu.n zer-e-daar kahte hai.n
Asghar Saleem
Sher
so gayaa vaqt kii dahliiz pe sar rakkhe hu.e
mai.n kahaa.n tak safar-e-ishq me.n tanhaa jaataa
Salim Saleem
Sher
is ek baat se gulchii.n kaa dil dha.Daktaa hai
ki ham sabaa se hadiis-e-bahaar kahte hai.n
Asghar Saleem
Sher
shaayad ki vo vaaqif nahii.n aadaab-e-safar se
paanii me.n jo qadmo.n ke nishaa.n Dhuu.nD rahaa thaa
Sahar Ansari
Sher
Sahar Ansari
Sher
vaqt ruk ruk ke jinhe.n dekhtaa rahtaa hai 'saliim'
ye kabhii vaqt kii raftaar hu.aa karte the
Saleem Kausar
Sher
Saleem Kausar
Sher
ye kaun nikal aayaa yahaa.n sair-e-chaman ko
shaaKHo.n se mahakte hu.e zevar nikal aa.e
Anjum Khaleeq
Sher
baadshaahat ke maze hai.n KHaaksaarii me.n 'saliim'
ye nazaara yaar ke kuuche me.n rah ke dekhnaa
Sardar Saleem
Sher
'Gaalib'-e-daanaa se puuchho ishq me.n pa.D kar saliim
ek ma.aquul aadmii kaise nikammaa ho gayaa
Sardar Saleem
Sher
sair-e-gulzaar mubaarak ho sabaa ko ham to
ek parvaaz na kii thii ki giraftaar hu.e
Meer Taqi Meer
Sher
qad sarv chashm nargis ruKH gul dahaan Guncha
kartaa huu.n dekh tum kuu.n sair-e-chaman mamolaa
Abroo Shah Mubarak
Sher
sair-e-bahaar-e-baaG se ham ko mu.aaf kiijiye
us ke KHayaal-e-zulf se 'dard' kise faraaG hai
Khwaja Meer Dard
Sher
kuchh is qadar nahii.n safar-e-hastii-o-adam
gar paa.nv uThaa.iye to ye arsa hai do qadam