SEARCH RESULTS
Showing search results for "समाँ"
Sher MATCHES FOR "समाँ"
Sher
yuu.n barastii hai.n tasavvur me.n puraanii yaade.n
jaise barsaat kii rim-jhim me.n samaa.n hotaa hai
Qateel Shifai
Sher
arz-o-samaa kahaa.n tirii vus.at ko paa sake
meraa hii dil hai vo ki jahaa.n tuu samaa sake
Khwaja Meer Dard
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
ulfat ne tirii ham ko to rakkhaa na kahii.n kaa
dariyaa kaa na jangal kaa samaa kaa na zamii.n kaa
Wajid Ali Shah Akhtar
Sher
aa.nkho.n me.n bas ke dil me.n samaa kar chale ga.e
KHvaabiida zindagii thii jagaa kar chale ga.e
Jigar Moradabadi
Sher
dil me.n samaa ga.ii hai.n qayaamat kii shoKHiyaa.n
do-chaar din rahaa thaa kisii kii nigaah me.n
Dagh Dehlvi
Sher
shab-e-vasl thii chaandnii kaa samaa.n thaa
baGal me.n sanam thaa KHudaa mehrbaa.n thaa
Haidar Ali Aatish
Sher
mubaarak mubaarak nayaa saal aayaa
KHushii kaa samaa.n saarii duniyaa pe chhaayaa
Akhtar Shirani
Sher
Ahmad Rahi
Sher
maqaam-e-vasl to arz-o-samaa ke biich me.n hai
mai.n is zamiin se nikluu.n tuu aasmaa.n se nikal
Abhishek Shukla
Sher
holii ke ab bahaane chhi.Dkaa hai rang kis ne
naam-e-KHudaa tujh uupar is aan ajab samaa.n hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
ye bhiigii raat ye ThanDaa samaa.n ye kaif-e-bahaar
ye ko.ii vaqt hai pahluu se uTh ke jaane kaa
Dil Shahjahanpuri
Sher
aaj tak yaad hai vo shaam-e-judaa.ii kaa samaa.n
terii aavaaz kii larzish tire lahje kii thakan
Azeem Murtaza
Sher
Anwar Mirzapuri
Sher
vo tere bichha.Dne kaa samaa.n yaad jab aayaa
biite hu.e lamho.n ko sisakte hu.e dekhaa
Ishrat Qadri
Sher
kyaa kaam kiyaa tum ne thii ye bhii adaa ko.ii
parde se nikal aanaa aur jii me.n samaa jaanaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Haneef Kaifi
Sher
mujh saa aashiq aap saa ma.ashuuq tab hove nasiib
jab KHudaa ik duusraa arz-o-samaa paidaa kare