SEARCH RESULTS
Showing search results for "सय्यार"
Sher MATCHES FOR "सय्यार"
Sher
bahut musir the KHudaayaan-e-saabit-o-sayyaar
so mai.n ne aa.ina o aasmaa.n pasand kiye
Sarvat Husain
Sher
qais jangal me.n akelaa hai mujhe jaane do
KHuub guzregii jo mil baiThe.nge diivaane do
Miyan dad Khan Sayyah
Sher
bulbul ko baaGbaa.n se na sayyaad se gila
qismat me.n qaid likkhii thii fasl-e-bahaar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
zabt kartaa huu.n to ghuTtaa hai qafas me.n miraa dam
aah kartaa huu.n to sayyaad KHafaa hotaa hai
Qamar Jalalvi
Sher
Raaz Allahabadi
Sher
uljhaa hai paa.nv yaar kaa zulf-e-daraaz me.n
lo aap apne daam me.n sayyaad aa gayaa
Momin Khan Momin
Sher
Dartaa huu.n aasmaan se bijlii na gir pa.De
sayyaad kii nigaah suu-e-aashiyaa.n nahii.n
Momin Khan Momin
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
kabhii sayyaad kaa khaTkaa hai kabhii KHauf-e-KHizaa.n
bulbul ab jaan hathelii pe liye baiThii hai
Mah Laqa Chanda
Sher
dushmanii mujh se kiye jaa magar apnaa ban kar
jaan le le mirii sayyaad magar pyaar ke saath
Qateel Shifai
Sher
paas thaa naakaamii-e-sayyaad kaa ai ham-safiir
varna mai.n aur u.D ke aataa ek daane ke liye
Allama Iqbal
Sher
kaaT kar par mutma.in sayyaad be-parvaa na ho
ruuh bulbul kii iraada rakhtii hai parvaaz kaa
Haidar Ali Aatish
Sher
ek bulbul bhii chaman me.n na rahii ab kii fasal
zulm aisaa hii kiyaa tuu ne ai sayyaad ki bas
Taban Abdul Hai
Sher
kidhar qafas thaa kahaa.n ham the kis taraf ye qaid
kuchh ittifaaq hai sayyaad aab-o-daane kaa
Qalaq Merathi
Sher
kisii sayyaad kii pa.D jaa.e na chi.Diyaa pe nazar
aap sarkaa.e.n na mahram se dupaTTaa apnaa