SEARCH RESULTS
Showing search results for "सर-कशी"
Sher MATCHES FOR "सर-कशी"
Sher
bhuul jaave saahib-e-iqbaal apnii sar-kashii
us ko dikhlaave agar merii bad-iqbaalii dimaaG
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
isii liye to hai zindaa.n ko justujuu merii
ki muflisii ko sikhaa.ii hai sar-kashii mai.n ne
Ali Sardar Jafri
Sher
Ameer Minai
Sher
mire KHilaaf shahaadat hai mo'tabar sab kii
magar kisii se kisii kaa bayaa.n nahii.n miltaa
Mumtaz Athar
Sher
aise ha.ns ha.ns ke na dekhaa karo sab kii jaanib
log aisii hii adaa.o.n pe fidaa hote hai.n
Majrooh Sultanpuri
Sher
sab kii apnii manzile.n thii.n sab ke apne raaste
ek aavaara phire ham dar-ba-dar sab se alag
Sarmad Sahbai
Sher
ham anjuman me.n sab kii taraf dekhte rahe
apnii tarah se ko.ii akelaa nahii.n milaa
Mustafa Zaidi
Sher
tumhaare sach kii hifaazat me.n yuu.n hu.aa akasr
ki apne-aap ko jhuuTaa banaa liyaa mai.n ne
Sarfraz Nawaz
Sher
hazaar shaiKH ne daa.Dhii ba.Dhaa.ii san kii sii
magar vo baat kahaa.n maulvii madan kii sii
Akbar Allahabadi
Sher
sab kii nigaah me.n tire godaam aa ga.e
ab apne haatho.n maal kii taqsiim kar na kar
Tanveer Sipra
Sher
aqeel nomani
Sher
sahar kii guu.nj se aavaaza-e-jamaal hu.aa
so jaagtaa rahaa atraaf ko jagaa.e hu.e
Afzaal Naveed
Sher
hamaare sar kii bulandii tak aa.o to dekho
faraaz-e-daar se kyaa kyaa dikhaa.ii detaa hai