SEARCH RESULTS
Showing search results for "सर-बुलंद"
Sher MATCHES FOR "सर-बुलंद"
Sher
vahaa.n bhii mujh ko KHudaa sar-buland rakhtaa hai
jahaa.n saro.n ko jhukaa.e zamaana hotaa hai
Asad Badayuni
Sher
Arshad Abdul Hamid
Sher
sar-bulandii ko yahaa.n dil ne na chaahaa mun.im
varna ye KHema-e-aflaak puraanaa kyaa thaa
Shah Naseer
Sher
jilau me.n hazrat-e-jibriil sar jhukaa.e hu.e
buland arsh ke taaro.n se azmat-e-aadam
Izhaar Malihabadi
Sher
nigah buland suKHan dil-navaaz jaa.n pur-soz
yahii hai raKHt-e-safar miir-e-kaarvaa.n ke liye
Allama Iqbal
Sher
hamaare sar kii bulandii tak aa.o to dekho
faraaz-e-daar se kyaa kyaa dikhaa.ii detaa hai
Azhar Inayati
Sher
haa.n aasmaan apnii bulandii se hoshiyaar
ab sar uThaa rahe hai.n kisii aastaa.n se ham
Josh Malihabadi
Sher
aataa hai yahaa.n sab ko bulandii se giraanaa
vo log kahaa.n hai.n ki jo girto.n ko uThaa.e.n
Unknown
Sher
ku.n.e.n kii samt bulaa le na ko.ii KHvaab mujhe
mai.n apne baap kaa sab se hasiin beTaa huu.n
Sarfraz Zahid
Sher
ku.n.e.n kii samt bulaa le na ko.ii KHvaab mujhe
mai.n apne baap kaa sab se hasiin beTaa huu.n
Sarfraz Zahid
Sher
phir tumhaare paa.nv chhuune KHud bulandii aa.egii
sab dilo.n par raaj kar ke taaj-daarii siikh lo