SEARCH RESULTS
Showing search results for "सहबाई"
Sher MATCHES FOR "सहबाई"
Sher
jo pa.Dhaa hai use jiinaa hii nahii.n hai mumkin
zindagii ko mai.n kitaabo.n se alag rakhtaa huu.n
Zafar Sahbai
Sher
sab kii apnii manzile.n thii.n sab ke apne raaste
ek aavaara phire ham dar-ba-dar sab se alag
Sarmad Sahbai
Sher
Sarmad Sahbai
Sher
jhuuT bhii sach kii tarah bolnaa aataa hai use
ko.ii luknat bhii kahii.n par nahii.n aane detaa
Zafar Sahbai
Sher
tumhaarii yaad me.n duniyaa ko huu.n bhulaa.e hu.e
tumhaare dard ko siine se huu.n lagaa.e hu.e
Asar Sahbai
Sher
ye husn-e-dil-fareb ye aalam shabaab kaa
goyaa chhalak rahaa hai piyaala sharaab kaa
Asar Sahbai
Sher
tere shabaab ne kiyaa mujh ko junuu.n se aashnaa
mere junuu.n ne bhar diye rang tirii shabaab me.n
Asar Sahbai
Sher
dilo.n ke biich na diivaar hai na sarhad hai
dikhaa.ii dete hai.n sab faasle nazar ke mujhe
Zafar Sahbai
Sher
Asar Sahbai
Sher
jis husn kii hai chashm-e-tamannaa ko justujuu
vo aaftaab me.n hai na hai maahtaab me.n
Asar Sahbai
Sher
Zafar Sahbai
Sher
shikaayato.n kii adaa bhii ba.Dii niraalii hai
vo jab bhii miltaa hai jhuk kar salaam kartaa hai
Zafar Sahbai
Sher
aah kyaa kyaa aarzuu.e.n nazr-e-hirmaa.n ho ga.ii.n
ro.iye kis kis ko aur kis kis kaa maatam kiijiye
Asar Sahbai
Sher
us ke milne pe bhii mahsuus hu.aa hai 'sarmad'
us ne dekhaa hii na ho mai.n ne bulaayaa hii na ho
Sarmad Sahbai
Sher
ye amal ret ko paanii nahii.n ban.ne detaa
pyaas ko apnii saraabo.n se alag rakhtaa huu.n