SEARCH RESULTS
Showing search results for "सहमी"
Sher MATCHES FOR "सहमी"
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
kaash itnaa hii samajh lete ye ahl-e-kaarvaa.n
faasle ba.Dh jaate hai.n sahmii hu.ii raftaar se
Saifi Azmi
Sher
aqeel nomani
Sher
maut ke KHu.nKHaar panjo.n me.n sisaktii hai hayaat
aaj hai insaaniyat kii har adaa sahmii hu.ii
Syed Shakeel Desnavi
Sher
laraz rahii hai zamii.n sahmii la.Dkiyo.n kii tarah
pukaartii hai ki tanhaa na chho.D kar jaanaa
Kishwar Naheed
Sher
uThtii to hai sau baar pe mujh tak nahii.n aatii
is shahr me.n chaltii hai havaa sahmii hu.ii sii
Arsh Siddiqui
Sher
ahrman kaa raqs-e-vahshat har galii har mo.D par
barbariyyat dekh kar hai KHud qazaa sahmii hu.ii
Syed Shakeel Desnavi
Sher
Moid Rasheedi
Sher
nahii.n nigaah me.n manzil to justujuu hii sahii
nahii.n visaal mayassar to aarzuu hii sahii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ham se ko.ii ta.alluq-e-KHaatir to hai use
vo yaar baa-vafaa na sahii bevafaa to hai
Jameel Malik
Sher
jhukii jhukii sii nazar be-qaraar hai ki nahii.n
dabaa dabaa saa sahii dil me.n pyaar hai ki nahii.n
Kaifi Azmi
Sher
dushmanii laakh sahii KHatm na kiije rishta
dil mile yaa na mile haath milaate rahiye
Nida Fazli
Sher
aa.nkh se duur sahii dil se kahaa.n jaa.egaa
jaane vaale tuu hame.n yaad bahut aa.egaa
Obaidullah Aleem
Sher
ham amn chaahte hai.n magar zulm ke KHilaaf
gar ja.ng laazmii hai to phir ja.ng hii sahii
Sahir Ludhianvi
Sher
mere siine me.n nahii.n to tere siine me.n sahii
ho kahii.n bhii aag lekin aag jalnii chaahiye
Dushyant Kumar
Sher
zaraa sii baat sahii teraa yaad aa jaanaa
zaraa sii baat bahut der tak rulaatii thii
Nasir Kazmi
Sher
ishq kii choT kaa kuchh dil pe asar ho to sahii
dard kam ho yaa ziyaada ho magar ho to sahii