SEARCH RESULTS
Showing search results for "सानी"
Sher MATCHES FOR "सानी"
Sher
Mahender Kumar Sani
Sher
ko.ii davaa bhii nahii.n hai yahii to ronaa hai
sad ehtiyaat ki phailaa hu.aa corona hai
Wajeeh Sani
Sher
mai.n chaahtaa huu.n ki terii taraf na dekhuu.n mai.n
mirii nazar ko magar tuu ne baa.ndh rakkhaa hai
Mahender Kumar Sani
Sher
kaun saanii shahr me.n is mere mah-paare kaa hai
chaa.nd sii suurat dupaTTa sar pe yak-taare kaa hai
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
ghar Gair ke jo yaar miraa raat se gayaa
jii siine se nikal gayaa dil haat se gayaa
Aftab Shah Alam Sani
Sher
tujhe raushnii se judaa karuu.n kisii shaam mai.n
tujhe itnii taab me.n dekhnaa nahii.n ho rahaa
Mahender Kumar Sani
Sher
baat ye hai ki sabhii bhaa.ii mire dushman hai.n
mas.ala ye hai ki mai.n yuusuf-e-saanii bhii nahii.n
Khalid Karrar
Sher
Mahender Kumar Sani
Sher
yaa saal o maah thaa tuu mire saath yaa to ab
barso.n me.n ek din kii mulaaqaat se gayaa
Aftab Shah Alam Sani
Sher
saanii nahii.n hai ko.ii na us kaa javaab hai
merii pasand hai jo miraa intiKHaab hai
Qaisar Afghani
Sher
kho ga.ii hind kii firdaus-nishaanii 'akbar'
kaash ho jaa.e ko.ii 'milton'-e-saanii paidaa
Akbar Allahabadi
Sher
sunnat hai ko.ii hijrat-e-saanii bhalaa bataa.o
jaataa hai ko.ii apne madiine ko chho.D kar
Liyaqat Ali Aasim
Sher
Mahender Kumar Sani
Sher
tiraa vajuud tire raaste me.n haa.il hai
yahii.n se ho ke miraa qaafila guzartaa hai
Mahender Kumar Sani
Sher
use mai.n duur hii se dekhtaa rahaa 'saanii'
jo aaj paanii me.n utraa huu.n to khulaa dariyaa