SEARCH RESULTS
Showing search results for "सामान-ए-वज्द"
Sher MATCHES FOR "सामान-ए-वज्द"
Sher
saik.Do.n man se bhii zanjiir mirii bhaarii hai
vaah kyaa shaukat-e-saamaan-e-gunah-gaarii hai
Naseem Dehlvi
Sher
mai.n ne saamaan-e-safar baa.ndh ke phir khol diyaa
ek tasviir ne dekhaa mujhe almaarii se
Unknown
Sher
Ahmad Javaid
Sher
go harf-o-ashk dono.n the saamaan-e-guftuguu
phir bhii hamaarii baat me.n ib.haam rah gayaa
Badr Muneer
Sher
rotii aa.nkho.n ko ha.nsaane kaa hunar le ke chalo
ghar se niklo to ye saamaan-e-safar le ke chalo
Ahmad Wasi
Sher
vaqt-e-ruKHsat jo mujhe pyaar se dekhaa tum ne
is se ba.Dh kar miraa saamaan-e-safar kyaa hogaa
Unknown
Sher
saamaan-e-dil ko be-sar-o-saamaaniyaa.n milii.n
kuchh aur bhii javaab the mere savaal ke
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
bhuultii hai.n kab nigaahe.n chashm-e-jaaduu-KHez kii
ham ko saamaan-e-faraamoshii sab apnaa yaad hai
Naseem Dehlvi
Sher
mausam-e-vajd me.n jaa kar mai.n kahaa.n raqs karuu.n
apnii duniyaa mirii vahshat ke baraabar kar de
Nomaan Shauque
Sher
ek din Garq na kar de tujhe ye sail-e-vajuud
dekh ho jaa.e na paanii kahii.n sar se uu.nchaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
KHudaa ne ga.D.h to diyaa aalam-e-vajuud magar
sajaavaTo.n kii binaa aurato.n kii zaat hu.ii
Abdul Hamid Adam
Sher
Dahaa kha.Daa hai hazaaro.n jagah se qasr-e-vajuud
bataa.uu.n kaun sii us kii mai.n ustuvaar taraf
Qayem Chaandpuri
Sher
bhare baazaar me.n baiThaa huu.n liye jins-e-vajuud
shart ye hai ki mirii KHaak kii qiimat dii jaa.e
Salim Saleem
Sher
shaayad mirii nigaah me.n hai azmat-e-vajuud
qatre se kah rahaa huu.n ki dariyaa se bach ke chal
Shakeel Badayuni
Sher
dar-e-vajuud pe jaane tuu kis se mil aa.ii
ki chaar paa.nch to rahte hai.n aadmii mujh me.n
Aqeel Abbas
Sher
Gam-e-vajuud kaa maatam karuu.n to kaise jiyuu.n
magar KHudaa tire daaman pe daaG hai ki nahii.n
Akhlaq Ahmad Ahan
Sher
hisaar-e-Gair me.n rahtaa hai ye makaan-e-vajuud
mai.n KHalvato.n me.n bhii akasr azaab dekhtaa huu.n