SEARCH RESULTS
Showing search results for "सियर"
Sher MATCHES FOR "सियर"
Sher
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
kis dard se raushan hai siyah-KHaana-e-hastii
suuraj nazar aataa hai hame.n raat ga.e bhii
Fuzail Jafri
Sher
Wali Uzlat
Sher
merii raate.n bhii siyah din bhii a.ndhere mere
ra.ng ye mere muqaddar me.n kahaa.n se aayaa
Liyaqat Ali Aasim
Sher
dil siyah hai baal hai.n sab apne piirii me.n safed
ghar ke andar hai a.ndheraa aur baahar chaa.ndnii
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
ye abr hai yaa fiil-e-siyah-mast hai saaqii
bijlii ke jo hai paa.nv me.n zanjiir havaa par
Shah Naseer
Sher
tanhaa tire maatam me.n nahii.n shaam-e-siyah-posh
rahtaa hai sadaa chaak garebaan-e-sahar bhii
Mohammad Rafi Sauda
Sher
paas-e-hayaat kaa KHayaal ham ko bahut buraa lagaa
pas ba-hujuum-e-ma.arka jaan ke be-sipar ga.e
Jaun Eliya
Sher
jalve machal pa.De to sahar kaa gumaa.n hu.aa
zulfe.n bikhar ga.ii.n to siyah raat ho ga.ii
Unknown
Sher
tumhaarii shab hai maatam-kunaa.n abhii mujh me.n
tumhaaraa dard abhii tak siyah libaas me.n hai
Fauziya rabab
Sher
dil aur siyah ho ga.e maah-e-ramazaa.n me.n
ik hauz hai aa.iina-e-naira.ng zamii.n par
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
is chashm-e-siyah-mast pe gesuu hai.n pareshaa.n
mai-KHaane pe ghanghor ghaTaa khel rahii hai
Nazar Hyderabadi
Sher
hamaaraa kaaba-e-maqsuud teraa taaq-e-abruu hai
tirii chashm-e-siyah ko ham ne aahu-e-haram paayaa
Haidar Ali Aatish
Sher
Raza Azimabadi
Sher
kyuu.nkar in kaalii balaa.o.n se bachegaa aashiq
KHat siyah KHaal siyah zulf siyah chashm siyaah
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
aashiq kii siyah-rozii iijaad hu.ii jis din
us roz se KHvaabo.n kii ye zulf pareshaa.n hai
Ishq Aurangabadi
Sher
mai-e-kausar kaa asar chashm-e-siyah-faam me.n hai
saaqii-e-mast ajab kaif tire jaam me.n hai