SEARCH RESULTS
Showing search results for "सियासत-ए-दरबाँ"
Sher MATCHES FOR "सियासत-ए-दरबाँ"
Sher
dil hii to hai siyaasat-e-darbaa.n se Dar gayaa
mai.n aur jaa.uu.n dar se tire bin sadaa kiye
Mirza Ghalib
Sher
alag siyaasat-e-darbaa.n se dil me.n hai ik baat
ye vaqt merii rasaa.ii kaa vaqt hai ki nahii.n
Aziz Hamid Madni
Sher
naira.ngii-e-siyaasat-e-dauraa.n to dekhiye
manzil unhe.n milii jo shariik-e-safar na the
Mohsin Bhopali
Sher
muhtaaj nahii.n qaafila aavaaz-e-daraa kaa
siidhii hai rah-e-but-kada ehsaan KHudaa kaa
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
saamne us yaar ke bhii aur sar-e-darbaar bhii
ek ye dil thaa jise har baar KHuu.n karnaa pa.Daa
Majid Siddiqui
Sher
le qais KHabar mahmil-e-lailaa to na hove
is dasht se aatii hai kuchh aavaaz-e-daraa garm
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Iftikhar Arif
Sher
in se ummiid na rakh hai.n ye siyaasat vaale
ye kisii se bhii mohabbat nahii.n karne vaale
Nadim Nadeem
Sher
kis darja munaafiq hai.n sab ahl-e-havas 'saaqib'
andar se to patthar hai.n aur lagte hai.n paanii se
Asif Saqib
Sher
kyaa Dhuu.nDne niklii hai kisii qais ko paagal
is darja jo ye baad-e-bayaabaanii hu.ii hai
Azeem Haider Syed
Sher
tahziib hii baaqii hai na ab sharm-o-hayaa kuchh
kis darja ab insaan ye bebaak hu.aa hai
zafar iqbal zafar
Sher
kyuu.nkar ba.Dhaa.uu.n rabt na darbaan-e-yaar se
aaKHir ko.ii to milne kii tadbiir chaahiye
Mardan Ali Khan Rana
Sher
qibla-o-ka.aba ye to piine pilaane ke hai.n din
aap kyaa halq ke darbaan bane baiThe hai.n
Mubarak Azimabadi
Sher
rozgaar-e-‘ishq bhii ik kaam hai lekin huzuur
aap apne ghar kaa ik darbaan kar diije mujhe
Mumtaz Iqbal
Sher
ab mai.n samjhaa tire ruKHsaar pe til kaa matlab
daulat-e-husn pe darbaan biThaa rakkhaa hai
Unknown
Sher
liye phiraa jo mujhe dar-ba-dar zamaane me.n
KHayaal tujh ko dil-e-be-qaraar kis kaa thaa
Muneer Niyazi
Sher
har taraf gahrii siyaahii hai muhiit-e-'ishq me.n
ek sham'-e-dil ke bujhne se dhu.aa.n kitnaa hu.aa
Anees Ashfaq
Sher
vo dard uThaa dil me.n ki jis dard kaa darmaa.n
gar ho na pas-e-lafz to miltaa hai sar-e-daar