SEARCH RESULTS
Showing search results for "सियाह-रात"
Sher MATCHES FOR "सियाह-रात"
Sher
itnii siyaah-raat me.n itnii sii raushnii
ye chaa.nd vo nahii.n miraa mahtaab aur hai
Saud Usmani
Sher
siyaah raat ke pahluu me.n jism ke andar
kisii gunaah kii KHvaahish ko paalte rahnaa
Sarfaraz Khalid
Sher
sutuun-e-daar pe rakhte chalo saro.n ke charaaG
jahaa.n talak ye sitam kii siyaah raat chale
Majrooh Sultanpuri
Sher
mai.n talKHi-e-hayaat se ghabraa ke pii gayaa
Gam kii siyaah raat se ghabraa ke pii gayaa
Saghar Siddiqui
Sher
kitaab ziist me.n baab-e-alam bhii ho mahfuuz
siyaah-raat kaa manzar sahar me.n rakkhaa jaa.e
Amanullah Khalid
Sher
mai.n raushnii pe zindagii kaa naam likh ke aa gayaa
use miTaa miTaa ke ye siyaah raat thak ga.ii
Naseem Ansari
Sher
mai se Garaz nashaat hai kis ruu-siyaah ko
ik-guuna be-KHudii mujhe din raat chaahiye
Mirza Ghalib
Sher
mai.n aur kitne sitaaro.n ko Duubtaa dekhuu.n
siyaah raat kii kashtii se ab utaar mujhe
Aziz Nabeel
Sher
jalve machal pa.De to sahar kaa gumaa.n hu.aa
zulfe.n bikhar ga.ii.n to siyah raat ho ga.ii
Unknown
Sher
siyaah dasht kii jaanib safar dobaara kiyaa
na jaane qaaf kii pariyo.n ne kyaa ishaara kiyaa
Rafiq Raaz
Sher
fazaa me.n chup kii siyaahii ghulii hai aaj kii raat
lahuu se hukm kii ta.amiil hone vaalii hai
Moid Rasheedi
Sher
is siyah-KHaane me.n tujh ko jaagnaa hai raat bhar
in sitaaro.n ko na be-maqsad hathelii par bujhaa
Farooq Shafaq
Sher
kis dard se raushan hai siyah-KHaana-e-hastii
suuraj nazar aataa hai hame.n raat ga.e bhii
Fuzail Jafri
Sher
Raza Azimabadi
Sher
siyaahii phertii jaatii hai.n raate.n bahr o bar pe
inhii taariikiyo.n se mujh ko bhii hissa milegaa
Sarvat Husain
Sher
merii raate.n bhii siyah din bhii a.ndhere mere
ra.ng ye mere muqaddar me.n kahaa.n se aayaa
Liyaqat Ali Aasim
Sher
aalam-e-piirii me.n kyaa muu-e-siyah kaa e.atibaar
sub.h-e-saadiq detii hai jhuuTii gavaahii raat kii