SEARCH RESULTS
Showing search results for "सुख़न-कार"
Sher MATCHES FOR "सुख़न-कार"
Sher
sun qataar andar qataar ashjaar kii sargoshiyaa.n
aur kahaanii pa.Dh KHizaa.n ne raat jo tahriir kii
Hammad Niyazi
Sher
vafaa ke baab me.n kaar-e-suKHan tamaam hu.aa
mirii zamiin pe ik ma.arka lahuu kaa bhii ho
Iftikhar Arif
Sher
paayaa hai is qadar suKHan-e-saKHt ne rivaaj
punjabi baat karte hai.n pashtuu zabaan me.n
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
aadmii kyaa vo na samjhe jo suKHan kii qadr ko
nutq ne haivaa.n se musht-e-KHaak ko insaa.n kiyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
raanaa.i-e-KHayaal ko Thahraa diyaa gunaah
vaa.iz bhii kis qadar hai mazaaq-e-suKHan se duur
Hasrat Mohani
Sher
reKHta ke qasr kii buniyaad uThaa.ii ai 'nasiir'
kaam hai mulk-e-suKHan me.n saahib-e-maqduur kaa
Shah Naseer
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
sun liyaa hogaa havaa.o.n me.n bikhar jaataa hai
is liye bachche ne kaaGaz pe gharau.ndaa likhkhaa
Sheen Kaaf Nizam
Sher
suKHan-saraa.ii ko.ii sahl kaam tho.Dii hai
ye log kis liye janjaal me.n pa.De hu.e hai.n
Dilawar Ali Aazar
Sher
ye pyaar kaa jazba tire kuchh kaam to aa.e
meraa nahii.n bantaa hai to ban aur kisii kaa