SEARCH RESULTS
Showing search results for "सुधारने"
Sher MATCHES FOR "सुधारने"
Sher
bas ik jhijak hai yahii haal-e-dil sunaane me.n
ki teraa zikr bhii aa.egaa is fasaane me.n
Kaifi Azmi
Sher
maa.n kii aaGosh me.n kal maut kii aaGosh me.n aaj
ham ko duniyaa me.n ye do vaqt suhaane se mile
Kaif Bhopali
Sher
ash.aar mire yuu.n to zamaane ke liye hai.n
kuchh sher faqat un ko sunaane ke liye hai.n
Jan Nisar Akhtar
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
hote hii shaam jalne lagaa yaad kaa alaa.o
aa.nsuu sunaane dukh kii kahaanii nikal pa.De
Iqbal Sajid
Sher
zabaa.n milii bhii to kis vaqt be-zabaano.n ko
sunaane ke liye jab ko.ii daastaa.n na rahii
Shahryar
Sher
ajab tarah kaa adhuuraa-pan hai mire bayaa.n me.n
so meraa qissa kahii.n sunaane me.n rah gayaa hai
Ghazanfar Hashmi
Sher
use hii baat sunaane ko dil nahii.n kartaa
vo shaKHs jis ke liye zindagii samaa.at thii
Kishwar Naheed
Sher
Ahmad Mushtaq
Sher
gale lagaa ke mujhe puuchh mas.ala kyaa hai
mai.n Dar rahaa huu.n tujhe haal-e-dil sunaane se
Rana Amir Liyaqat
Sher
bachcho.n ko bhuuke peT sulaane ke baad ham
kaise Gazal ke sher sunaa.e.n jahaa.n-panaah
Ehya Bhojpuri
Sher
KHvaahish sukhaane rakkhii thii koThe pe dopahar
ab shaam ho chalii miyaa.n dekho kidhar ga.ii
Adil Mansuri
Sher
Gair ko dard sunaane kii zaruurat kyaa hai
apne jhag.De me.n zamaane kii zaruurat kyaa hai