SEARCH RESULTS
Showing search results for "सुम्बुल"
Sher MATCHES FOR "सुम्बुल"
Sher
sumbul ko pareshaan kiyaa baad-e-sabaa ne
jab baaG me.n baate.n tirii zulfo.n kii chalaa.ii.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
zulf-e-sumbul nik.hat-e-gul mauj-e-sabza mauj-e-aab
baaG me.n ko.ii jagah KHaalii na dekhii daam se
Jaleel Manikpuri
Sher
tiraa qad sarv sii.n KHuubii me.n cha.Dh hai
laTak sumbul setii zulfaa.n sii.n ba.Dh hai
Abroo Shah Mubarak
Sher
din ke siine me.n dha.Dakte hu.e lamho.n kii qasam
shab kii raftaar-e-subuk-gaam se jii Dartaa hai
Javed Kamal Rampuri
Sher
kahaa.n hai shaiKH ko sudh-budh maziid piine kii
nasha utaar ga.e tiin chaar jaam us kaa
Anwar Shuoor
Sher
kitne subuk-dil hu.e tujh se bichha.Dne ke ba.ad
un se bhii milnaa pa.Daa jin se mohabbat na thii
Anwar Siddiqui
Sher
nahii.n jii chaahtaa milne ko subuk-vaz.o.n se
kyaa kare.n ham jo mizaaj apnaa giraanii maa.nge
Imdad Ali Bahr
Sher
ham subuk-ruuh asiiro.n ke liye laazim hai
qafas-e-gul ko kare baad-e-bahaarii tayyaar