SEARCH RESULTS
Showing search results for "सुलूक"
Sher MATCHES FOR "सुलूक"
Sher
Gam-e-jahaa.n ho ruKH-e-yaar ho ki dast-e-aduu
suluuk jis se kiyaa ham ne aashiqaana kiyaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kabhii bhuul kar kisii se na karo suluuk aisaa
ki jo tum se ko.ii kartaa tumhe.n naagavaar hotaa
Ismail Merathi
Sher
tire suluuk kaa Gam sub.h-o-shaam kyaa karte
zaraa sii baat pe jiinaa haraam kyaa karte
Rais Siddiqui
Sher
Mubarak Azimabadi
Sher
suluuk aisaa nahii.n us kaa phir bhii jaane kyo.n
vo yaad aa.e to dil se du.aa nikaltii hai
Iqbal Khawar
Sher
mire suluuk kii qiimat yahii.n adaa kar de
mujhe gunaah kii lazzat se aashnaa kar de
Khalid Ghani
Sher
ham ne duniyaa se suluuk aisaa kiyaa hai 'raanaa'
ham na ho.nge to bahut yaad karegii duniyaa
Rana Gannauri
Sher
vahii suluuk zamaane ne mere saath kiyaa
kiyaa thaa jaisaa musharraf ne be-naziir ke saath
Zafar Kamali
Sher
ye kyaa suluuk kiyaa tuu ne mujh se dast-e-junuu.n
ki sii diyaa miraa daaman mire garebaa.n se
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
suluuk rakhtaa hai mujh se munaafiqo.n jaisaa
tamaam shahr me.n jo mo'atabar ziyaada hai
Masood Tanha
Sher
na guftuguu me.n tasallii na KHaamushii me.n sadaa
suluuk-e-dost kaa andaaz hii niraalaa hai