SEARCH RESULTS
Showing search results for "सूरत-ए-हाल"
Sher MATCHES FOR "सूरत-ए-हाल"
Sher
ai mire chaaraagar tire bas me.n nahii.n mo.aamla
suurat-e-haal ke liye vaaqif-e-haal chaahiye
Saleem Kausar
Sher
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
sunaa kis ne haal meraa ki juu.n abr vo na royaa
rakhe hai magar ye qissa asar-e-du.aa-e-baaraa.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
iz.haar-e-haal ke liye suurat savaal hai
hai guftuguu se kaam na ham ko zabaa.n se rabt
Qadr Oraizi
Sher
pursish-e-haal kii fursat tumhe.n mumkin hai na ho
pursish-e-haal tabii.at ko gavaaraa bhii nahii.n
Iqbal Azeem
Sher
tujh se qismat me.n mirii suurat-e-qufl-e-abjad
thaa likhaa baat ke bante hii judaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
chup-chaap apnii aag me.n jalte raho 'faraaz'
duniyaa to arz-e-haal se be-aabruu kare
Ahmad Faraz
Sher
teG-bar-dosh sipar haath me.n daaman gardaa.n
ye banaa suurat-e-KHu.nKHaar kahaa.n jaanaa hai
Meer Mohammadi Bedar
Sher
aatish kaa sher pa.Dhtaa huu.n aksar ba-hasb-e-haal
dil said hai vo bahr-e-suKHan ke naha.ng kaa
Maatam Fazl Mohammad
Sher
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
apnii suurat-e-zard chhupaatii phirtii huu.n
sab se apnaa dard chhupaatii phirtii huu.n